The Void

Apni yaado me mujhko yun tum tarsa hi dena
Itni umeedey deke, mujhse chupa hi lena
Fir bhi jo kam lage to chahe saza hi dena
Fir bhi jo bache thoda pyaar barsa hi dena
Barsa hi dena
Tarsa hi dena
Saza hi dena
Barsa hi dena

Tu chheen chuki saari zameen
Saat mere surr saato sahi
Aankho mein paani jo vo ashq nahi
Isey bulata main teri kami
Ab na raha thoda bhi dam
Logo ko lage hath me hai rum
Dikhe na kyu tere diye hue zakham
Maine sab bhula diya reh gaye bas tere gham
Uss barsaat ki ek boond hai tu
Ashqo me kho na jau aake dhundle tu
Chahe ruth le tu, shaitaan ka rupp le tu
Shaitaan bhi bole kya khoob hai tu
Kya khoob banaya mera mazak
Galtiyo ki baat na kar khaamiya haazar
Tera har jhutt sunne ko betha beqarar
Jawaab se dugne reh gaye mere paas ye sawaal
Sawaal chhord bata kaise hain halaat
Done overthinking ab toh guzar chuke saal tere bina
Betha gungunata bass mere ye taal
Sunata tumhe par tum to rahe bhi na
Rehguzar banchuke ho tum
Duniya ke rango me dhal chuke ho tum
Band kitaab the khul chuke ho tum
Ab kya hi bolu tum ho chuke gum

Apni yaado me mujhko yun tum tarsa hi dena
Itni umeedey deke, mujhse chupa hi lena
Fir bhi jo kam lage to chahe saza hi dena
Fir bhi jo bache thoda pyaar barsa hi dena
Apni yaado me mujhko yun tum tarsa hi dena
Itni umeedey deke, mujhse chupa hi lena
Fir bhi jo kam lage to chahe saza hi dena
Fir bhi jo bache thoda pyaar barsa hi dena

Itne ghum do ke hans bhi na paun
Zindagi bhar baitha hijr ki main rasme nibhaun
Shehr e dil mein main kis tarah usko basaun
Usse shikayatein hain, main bhi rehta khud se khafa hun
Zindagi fucked up
Tu bhi rehti pareshan main nashe mein yun farsh pe parha hun
Yar dete rahe dilase, kaise haal samjhaun unhe
Kaise haal samjhaun tumhe
Aankhein boht mili meri wafa ke tamashe ke liye
Kandhe qafi the jazbaton ke janaze ke liye
Bas maan lo voh aaye hi the jaane ke liye
Tumhe aaina dikhane ke liye
Bas maanlo ke zindagi yeh sehne ka naam hai
Voh puche lowkey kahan mar gaya, mera jeena haraam hai
Har ek lafz pe daam lage yeh ashq jaate raegaan nai ab
Mera saga mera saya bhi nai
Kyun mudke tu aaya bhi nai
Ghar ki veerani rahi cheekhti
Bahir main karme se aya bhi nai
Na zyada bhi mila kuch mujhe aur kuch gawaya bhi nai
Taa umar bas ladta raha khud hi se
Aakhir mein haath kuch aaya bhi nai

Apni yaado me mujhko yun tum tarsa hi dena
Itni umeedey deke, mujhse chupa hi lena
Fir bhi jo kam lage to chahe saza hi dena
Fir bhi jo bache thoda pyaar barsa hi dena
Apni yaado me mujhko yun tum tarsa hi dena
Itni umeedey deke, mujhse chupa hi lena
Fir bhi jo kam lage to chahe saza hi dena
Fir bhi jo bache thoda pyaar barsa hi dena
Barsa hi dena
Tarsa hi dena
Saza hi dena
Barsa hi dena



Credits
Writer(s): Aryan Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link