Panah

Thikana na raha
Begana mein saha
Shayiron ki tarha

Alvida kehna ab tum nahi
Raston mein miley jaisay ajnabi
Ab panah tere saye mein na
Lafzon mein wo na raha kabhi

Jaise, Kahan na likhi risalon mein
Phas gaya tha un lafzon ke jalon me
Hatim ka pehna tum ne libaas
Dhoondi panah, na paya lihaaz, Ke

Dil mangay teri panah
Dil mangay teri panah

Saaz o saman mera bhikra para
Lafzon se tum karte gaye
Shayaron ki tarhan
Hota ishq hai behisab
Jhoot kehte hein woh
Mere waqt ka de jawab
Hua tujhpay zaya hai jou

Teri bandagi mein hun mubtila
Ayse jese khud ko bhula chuka
Utar k dou bhi pehnk ab
Naqaab jo hai pehn rakha
Sadaqat mein phir mubtila
Kiya hai irada tera
Sharafat se mil tu zara
Kyun seedha mana kardiya

Haqeeqat se waqif raha
Is dour mein baaghi kahan
Ab khush tou hun mein bhi nahi
Is qaid mein ab ye mera

Dil mangay teri panah
Dil mangay teri panah

Dil maangay teri panah
Dil mangay teri panah



Credits
Writer(s): Raamiz Rizvi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link