NEET - (chanda si meri gudiya hai tu)

20 saal ki ek ladki ek lauti beti thi
Neet ki teyaari mei din raat ek krdi
Baap ki sarkari naukri maa taaro mei rehti thi
Pariwar ke apnepan se voh ekdum anjaan thi
Har raat apne takiye ko adhoori khwaisho ki nami se bhigaya
Phir sapne mei maa aake chup karati iss lori ko unhone sunaya
Chanda si meri gudiya hai
Tu tera hai yeh poora sansaar
Uchi udhaan udhna meri beti
Apni maa ki tarah na maana haar
Result aaya pass nahi hui chauthi baar uski kosish thi
Baap ki nazro mei voh ek nakaam bann gyi
Agle din phir hui takraar pita ka utha uspe haath
Maa ki kami khali uss din usko bahut baar
Jis panke ke neeche nindiyaa aati usse jhulke sabki nindiya udhai
Ambulance mei godi pe sir rakhke uske papa ne yeh lori sunai
Chanda si meri gudiya hai
Tera hai yeh poora sansaar
Uchi udaan udhna meri beti
Apni maa ki tarah na maana haar
" Maaf krdena mujhe papa"
Yeh the uske aakhiri alfaaz
Jis duniya mei phir voh gayi
Vahan dhadkan ki aati na aawaz
Pariwar ke bina ghar ekdum sunsaan ho gaya
Har raat nam aankhon se sitaro ki voh kehta
Chanda si meri gudiya hai tu



Credits
Writer(s): Sneha Rathore
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link