Is naye sheher mai

12th class ke baad zindagi
Ka timetable mujhe mila nahi
Sahi faisle kaise lu us zindagi
Ke maine jise jiya nahi
Gharse door nhi jaana
Par agar kuch hai paana
Toh iske aanchal ko hai laanghna
Ek train pakdi zald se nikli
Ab kuch banke hi vapas hai aana

Apne wajood ki wajah dhoondne aai
Is naye sheher mei
Meri aazadi kitni tanha hai iss naye
Sheher mei
Pareshaan hai sab phir khush
Ho jaate
Samay se taez sab bhaagna chahte

Badi immaraton aur nayi sadko pe ekdum hum
Aawara ghoomte
Dil ka haal samjhne waalo ko anjaano mei dhoondte
Gharki yaad satati maa ghar bulati
Par ek nakaam nahi banna chahti
Joh sukoon bachpan mei maa baap ne mujhe diya
Voh lautane ki ab meri baari

Apne wajood ki wajah ko dhoodne aai
Iss naye sheher mei
Meri aazadi kitni tanha hai iss naye
Sheher mei
Pareshaan hai sab phir khush
Ho jaate
Samay se taez sab bhaagna chahte

Papa se paise maangte samay meri sharam
Mujhe khaa jaati
Maa ke haath ke khaana kya choota
Zindagi ka swaad aaya nahi
Ghar jaa sakti par ghar hai kahan
Joh chhodke aai ya ab jahan rehti vahan
Mere sapne meri zimmedari bhi bann gaye
Kya maine galat sapne chunn liye?

Apne wajood ki wajah dhoondne aai
Is naye sheher mei
Meri aazadi kitni tanha hai iss naye
Sheher mei
Pareshaan hai sab phir khush
Ho jaate

Samay se taez sab bhaagna chahte
Aayi ek naye sheher
Aayi ek naye sheher
Sab kuch chhodke aayi is naye sheher
Aayi ek naye sheher
Aayi ek naye sheher
Sab kuch chhodke aayi is naye sheher mei
Is naye sheher mei
Is naye sheher mei
Chhodhke aayi is naye sheher mei



Credits
Writer(s): Sneha Rathore
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link