Soul of River

Ye dhoonya hai,
Meri soch se dur,
Ye nadiyan hain,
Inn pahadon se dur,
Koi saazish hai,
Tere paas ye kinarey,
Meri pyaas hai,
Saath tere chal kar banaon saharey,
Ye dheeme baadlon
se milna tera,
Meri khabar hai
baarishon ki boondon se,
Yunn iss dharti ko
sambhalna tera,
Meri rahtein na
bhoolein tujhe,
Na jaun main
kabhi teri roshni se dur,
Chaand tujhe jab dekhe,
Teri inn parshaiyon se,
Khud ko na pehchane.
Har ek raaste se,
Teri duaayien jaise,
Hain khaffa mujhse,
Kyun bhoolun aisi raatein,
Jahan pe taare jhoothe,
Hain ye baatein sachi,
Teri hi nazrein pyari,
Kyun khoun tujhse main ye,
Apni na maangi khushi,
Inn tanhaiyon se
dhoondhoon main teri manzil,
Aisa kuch samajh na aaye,
Bedardiyon se khuli ye insaaniyat anjaani,
Aise hi dekha jaise,
Koi samajh na paye,
Kaisi shuruat huyi hai,
Meri aankhein na samajhein,
Ek jahan hai,
Apne aap mein kahien,
Jaisi ye duniya hai,
Baisi ye mojoodgi,
Teri sikhyaien mushkilein
hain mujhpe dhyan deti,
Kaisi hai ye nadaani,
Mere hote kamzor faisle,
Bas behta hoon main,
Apni hi nadiyon ki aur,
Inn jharno se,
Mila hoon kahein,
Aisi jagah pe,
Jahan hai iss dharti ka shor,
Gehri neendon se uth kar,
Ja raha hoon iss samundar ki aur,
Fir sochte huye
main khudse karta hoon Kai sawaal,
Kya sukoon hai aisa,
Iss pani ke berang chahre se,
Dekhte hi isse khud se,
Pyar karta hoon,
Ye dhoonya hai,
Meri soch se dur,
Ye nadiyan hain,
Inn pahadon se dur,
Koi saazish hai,
Tere paas ye kinarey,
Meri pyaas hai,
Saath tere chal kar banaon saharey,
Ye dheeme baadlon
se milna tera,
Meri khabar hai
baarishon ki boondon se,
Yunn iss dharti ko
sambhalna tera,
Meri rahtein na
bhoolein tujhe,
Na jaun main
kabhi teri roshni se dur,
Chaand tujhe jab dekhe,
Teri inn parshaiyon se,
Khud ko na pehchane.



Credits
Writer(s): Naman Guleria
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link