Laazmi

Batti jalti jab dimaag ki
Kare bawaal bhi
Jab bhi baithu chain se
Uthe sawaal bhi
Seedhe saadhe ham the
Seedhe saadhi zindagi thi
Sukoon se uthta tha
Sukoon se raatein beet ti thi

Wo jaisi zindagi thi
Thoda bhot usme khush tha
Kitna hi nichodu
Itna hi toh isme rass tha
Kya mere basska
Kya alag se mai karke dikhaadu
Kya sau prateeshat dedu
Ya phir apna rasta naapu

Kya chaanta khaake bhi mai dooja gaal aage laadu
Thoda zyaada nahi toh kuch sikha gaya tha baapu
Linein main kheechu ya phir saari hi mitaadu
Khush hai rehna ye bataado kitna paisa chaapu

Raatein beeti baatein feeki
Aage badta chal
Zamaane jaali saare cheen le teri akal
Kal ko karna jo hai karte kyuni aaj hi?
Kehte rukja hai umar ni teri khaas bhi

Haan ye hai laazmi,
Mai kyuna dekhu khwaab bhi?
Na waqt mere saath bhi
Khuda se maangu laaj bhi
Haan taj pe hai daag bhi
Mai seekh leta aaj bhi
Sikhaane waala aadmi jo
Dekhi jaati jaat nahi

Kya hai beemari sabko
Ya mera ilaaj nahi
Mai dard sehta aaj bhi
Wo kehte karle baarvi
Na silsila khatam hua
Ye badhta rehta raat din
Kab tak hi saase ginu
Mai thak gaya hu aaj phir

Sab ke sab naraaz baithe duk or dard se
Manaane me lage hai usko leke karze
Tavajju dedi jaati dukh ko uski baat hoti
Dukh bani hai aadat aadatein hai kiski chooti
Is hi beech kone me khafa Khushi hai baithi
Itni mehnat ki nahi duniya saali bhaav deti
Iski ehmiyat hai dard me hi samajh aati
Shayad tabhi ye jaani zyada der tik ni paati

Aise hi nahi khota chaand apna noor bhi
Kuch na kuch wajah toh hogi dikhti door nahi
Saadgi bhari padi hai apne khoon mein
Wajaayein dhoondne mai nikla hu junoon mein

Darr ko dekh aankhon me aankhein daal ghoorta hu
Dil toh ek jaani phir bhi rehta choor sa kyu
Dhyaan deta poora phirbhi baatein bhoolta hu
Mai ni bolta bass aankhein phaade ghoorta hu

Asal mein maibhi doobta hu
Sochta hu khoob sa yun
Itna kuch hai puchne ko
Kuchna puch paau
Raaz sabke hai bhare
Bhulaana chahte hai pare
Par kya kare ye yaadein maanti nahi hamko le mare

Yaad kar ki kal kahan the
Aaj yahan pade
Kya mere jaise baawle
Milenge mujhko saathme
Akela chalna chahta ni
Koi toh haath thaam le
Din toh guzre neend me
Or raatein doobey khwaab mein

Agar nahi chale jo geet mere aage kya hi hoga
Khuli aankhon se dekhe sapne dekhta rahunga
Pakadke mujhse puchenge gawaahi jhooti hogi
Maheeno se nahi soya neend puche kya hi hogi

Wo ni sunna chahte chahte maibhi bolu unki
Dhuen se mutasir hu ni maibhi ginta din ki
Baatein jinki un tak hi rahe toh accha hai
Kehne wale kehte goswami bhi saccha hai

Abhi tu baccha hai samajhke apne shabd rakh
Sunta hu ye kaafi firbi ni palat ta ab
Zehen me aata jo bhi nikaalna padega
Ye meri Jung hai jaani pyaada kab tak hi ladega

Deewaro ke bhi kaan hai kyu meri sunta ni koi
Apni soch me hi gal raha khayal wohi
Haan jaanta hu ki bahar bhi khudse aana hai
Madad toh karna paap hai yahi zamaana hai

Yahi sikhaana hai
Kya yahi lekar jaana hai
Paisa saath jaata nahi hai
Shabd chhodh jaana hai
Kya mera thikaana
Kisse rubaru karaana hai
Sach toh bakdu kaafi lekin
Suna kisse jaana hai

Mai koi patrakaar ni
Par sach dikhaana hai
Din bhar bhaagu khudse
Sapno me ni bhaaga jaana hai
Sunoge naam mera, its gonna ring a bell
And while I am telling you this keep in mind I'm drunk as hell



Credits
Writer(s): Shivam Kumar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link