Life Story

Mummy gujju meri papa the na punjabi
Umar hui athara dekhi laash kuch bhi samjha nai
Jamta nai
Dekha papa bas pasina puri zindagi
Wo chef, raat shayar, ek fakir sa
Photo lag gayi baadme jo click kiya inn haatho se
Dekh kitna sadma kitni thokaro se hokar hu yaha
Mujhe na pata mai kaise tha padha wo panna kitab ka likha jo mere tha liye
Bata mere maula musibat sar pe rakh k do pal hu yaha
Ro kar hu yaha
Gir gir k chal chal k kho kar hu yaha mai mere papa ko
Dilasa nai tum mauka do
Kahani hai ye gana nai sau taka toh suno
Unnis sau tiranve (1993)
Rana bhai nagpur mein hogaya tha pyar
Janma junior hua mai 3 saal ka
Mummy ne di cassette aur jhooma mai
Haddaway ko sunke hua pyar, I had a way
Badhi umar, kaksha chauthi mein pohocha
Mujhe nocha mere seniors ne
Khauf tha society mein bhi roz ka
Kua aage khai piche dab chuka tha beech mein
Baat chodh jhel lia tha fas chuka par
Baad mein mai khush, dhaba khola papa ne
Spicy village naam rakha, jam laga, par fasaya apno ne
Mummy k the aasu aur aage tuta dhaba
Nakli kagazo ka dala jaal mere papa pe
Ye jaan
Raasta toh na humesha fika
Maula ne di godh Rana haarna na sikha
Wo london mein chef, chala videsh
Mann me laga ye chess ka khel
Dar dar k chalna shawk na par maarna na sikha mai
Ye haath, kaam aaye guitar class
Khelna tha basketball
Jhund banake bole k bandi ye
Toh kya hua mai bandi? Kya bandia na khele wo maidan pe?
Tu sexist hai maan ye
Baat dhyan se sun emotion bazaar ye
De gyaan jaise Lama Dalai ye
Na aayiye
Banana mujhe na bhai tu shaitan ki parchai hai
Guzre saal do papa ghar pe back
Mummy daddy date pe bahar
Cleaning out my closet, suna track
Mujhe na pata kya rap
Lekin tha bana mai fan
God's plan
Saara ka sara ye god ka plan hai!
Sehena pada, tha scam, thaana mai banuga man

Papa ghar pe khaali baithe roz
Apne maare taane
Kheti mein lagaya paisa, loss hua dost
Dua roz
Jaa pohoche sai ki kuch kitabo mein
Kitabo se wo khwabo mein
Kahanio mein baba the
Fir, bole mummy ko
Kaisi apni holiday? Na paisa zyada
Nagpur se shirdi, yehi hai baaki, sorry re
Wohi hai destination apni trophy re
Wohi humara swiss, manali, spain, greece, turkey re
Ye asli hustle, wo sunte qawali fir ghazal, manushya bhi fasal
Khilke murjhana marjana hai
Maula deta zindagi aur mann se leke jata hai sunn!
Gyaara mahine maut se pehle, toda FD jo thi last
Chaar roti thi kamani, khola highway pe dhaba
Naam Rana Punjabi
Aane lage log seedha shehri, galla din ka roz upar
Aayi 2nd hand kaali scorpio
Bechi dal roti khud banake aaj aur piyo, yaad me
Rana uncle sabke yaar swaad de
Aaj jaane nagpur k log, kal sansaar k
Hisab ki kitab kholi daali date
29-12-14 band ki
Saal se wo ek kehte waqt mera aayega
Kabhi na kabhi toh jaldi baap tera chala jayega
Subah subah call aaya maa ko
Pata na mujhe tha dekhuga savere 6 baje unki laash ko
Kaash, mila hota thoda zyada wo aakhri saal mein
Aaj, abhi wo har jaga humesha mere he saath re
Khaas, gale pe mere ye maa baap ka naam re
Saas, leke mai karta rap likhta baatein hu dil ki papa
Ka beta toh shayari karu mai beat pe
Gana ye suno repeat pe
Tv pe aayega mera beta mere papa ka purana dream ye

Mummy gujju meri papa the na punjabi
Umar hui athara dekhi laash kuch bhi samjha nai
Papa ka dost aaya life mein
Khola sach nikale do chaar saap jo the hiding
Mehnat karke papa ki yaad mein
Mummy, mai, bakshi bhai, pura staff saath
Haath upar sai
Ye gaana Rana k naam aur dhaba
Mera kya he hai?
Aaj hu mai yaha pe kal mai upar
Maula sai maula sai



Credits
Writer(s): Aniesh Rana
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link