Tujhme Baat Aisi

Panna kora tha mai aage likhne baitha jab
Gum bhi saare hai bahati ye kalam mai kehta jab
Firse khudko dard dega dil ye nasamajh
Par mai bhi kya hi bolu ab jo uski har ada gazab

Mai likhna chahu saare nagme tere bare
Saamne tu hoti bol bhi na paate hum bichare
Kash tu khamoshi ko meri samajh le
Aur tu hass de vo hi jeet hogi hum the aaj tak jo haare

Tu hai jaise boond os ki ho phool pe
Tu itni khoob koi tujhko tod na le bhool ke
Mai pas rehna chahu jaise bhavre ghoomte
Aur vo bhi chahta ye ki phool bhi zara sa jhoom de

Tu jo khwabo me ho to aankhe na kholu mai
Tu hai sukun aisa seene se laga ke ro lu mai
Khoobsoorti se lagti hoor jannto ki
Pas aane vaaste hi saare paap chhodu mai

Holi ke gulal jaisi eid ke tu chaand jaisi
Aankhein tujhse hat ti na hain kuch to tujhme baat aisi
Diwali ki rangoli si lage tu khushnuma
Mai jitna dekhu utna kam hai kuch to tujhme baat aasi

Tere chahne vale kam nahi ye jaanu mai
Par aankhein teri khoob kitni ye to sirf jaanu mai
Chaar pal ki chahat hai ya pyar janu na
Par pyar vale lafz tere naam se hi jaanu mai

Tere bare likhta mai kehta nahi
Pyar lekin jazbaato me hu behta nahi
Pehle bhi hua tha par ye aisa tha nahi
Shayad iski ye wajah hai ke tu pehle tha nahi

Jaate hain jo tere tak mai raaste vo khoju
Banjara sa mai basne ka jo tu mile to sochu
Dard de bhi degi tu mujhe to gum hi kya hai
Tujhse hain mile to mai bhi ghav ko kharochu

Jo tu na mila to dil ka hai malaal tu
Sheher-e-dil me chhai jaise holi me gulal tu
Shayarana hai mijaz likhne baitha shayri
Aur shayri me dil ki baatein jiske hai hawale tu

Tujhme to nasha galat hai pee lu fir bhi tujhko mai
Sir se naa utarta ye sambhalu kaise khudko mai
Teri baato me hai ik jahan alag sa
Baatein kar tu mujhse teri baato me hi tujhko jee lu mai



Credits
Writer(s): Abhinav Pratap Singh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link