Aashna

Ek arsae pehle ki hai ye baatein
Aaj sab kuch kitna badla badla sa laage
Itni bhaati kyu tumhe sitaron bhari raatein
Jo chamakte ho un mein aaj tum sabse aage

Beech apne hai yeh dooriyan
Dekho ban rahi hai ab khaamiyan
Jab the pass hum tainu dekh ke
Mein sada hi khush rehta mahiyaa

Yeh Zindagi hamari ek kitaab hai
Ismein kirdaar apne khaas hai
Magar yeh bhi tab talak saath hain
Jab tak kahani mein inka haath hai

Bin tere aaye jaise mujhe saas na
Tujhse judai ka gham ho jaaye fanaa
Aaya hai tera alvida mujhe raas na
Batao bhulu kaise mein apna Aashna

Aashna, tu kaha
Hai chala, laut aa

Kismat ne chaha agar toh milenge phir hum zaroor
Kehke aise tune bandha mera fitoor
Phir kyu lauta tu nahi
Karne galti apni sahi
Kya kiya maine aisa ke dil ki baatein reh gayi unkahi

Waqt aisa sabke aata hayat mein
Choote jo saath apno ka raaton raat mein
Badha hai pyaar nahi magar faasle
Kaha hue hai khatam apne aap mein

Bin tere aaye jaise mujhe saas na
Tujhse judai ka gham ho jaaye fanaa
Aaya hai tera alvida mujhe raas na
Batao kaise bhulu mein apna Aashna

Aashna, tu kaha
Hai chala, laut aa

Ae mere Aashna
Kyu hua tu khafa
Akela mujhe kyu tu chod gaya

Mere Aashna
Tu ab hai kaha
Mere Aashna
Tu phir laut aa
Mere Aashna
Tu bas ik dafa
Ha mere Aashna
Baaho mein aa maahiya



Credits
Writer(s): Vedant Nilanjan Dasgupta
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link