Ae Nargise Mastana (From "Arzoo")

Ayy, ae nargis-e-mastana
Bas itni shikayat hai
Bas itni shikayat hai
Samjha humein begana
Bas itni shikayat hai
Bas itni shikayat hai
Ae nargis-e-mastana

Har raah par katraaye
Har mod par ghabraaye
Munh pher liya hai tumne
Hum jab bhi nazar aaye
Munh pher liya hai tumne
Hum jab bhi nazar aaye

Ho, humko nahin pehchana
Bas itni shikayat hai
Bas itni shikayat hai
Ae nargis-e-mastana

Ho jaate ho barham bhi
Ban jaate ho humdum bhi
Ae saaqi-e-maykhana
Shola bhi ho, shabnam bhi
Ae saaqi-e-maykhana
Shola bhi ho, shabnam bhi

Haaye, khaali mera paimana
Bas itni shikayat hai
Bas itni shikayat hai
Ae nargis-e-mastana

Har rang qayamat hai
Har dhang shararat hai
Dil tod ke chal dena
Yeh husn ki aadat hai
Dil tod ke chal dena
Yeh husn ki aadat hai

Haaye, aata nahin behlaana
Bas itni shikayat hai
Bas itni shikayat hai
Ae nargis-e-mastana
Bas itni shikayat hai
Bas itni shikayat hai

Samjha humein begana
Bas itni shikayat hai
Bas itni shikayat hai
Ae nargis-e-mastana



Credits
Writer(s): Jaikshan Shankar, Jaipuri Hasrat
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link