Ekanki

Mujhe pata nahi kya hai galat
Kya sahi kya yahi
Tarika hai jeene ka
Mujhe lage ye sabak har waqt kambakt mujhme jo khoon hai kameena ka
Jeet likhi hai naseeb me
Par hoon isi umeed ke bojh
Halka kardi seene ka
Bahar aau me ateet se
Aur dekhu zara thik se bhavishya mera
Chamke nageene se
Kabhi guzre din mera
Khwaab me halaat yaad aate
Hi hojati raat hai
Laath sahaab ke sapne behisaab hai
Filhal gaane banane
Me hi meri thaat hai
Kaafi rakha ab rakha
Kya sabar me
Baari apni aayenge
Hum khabar me
Rakhke jigra chale hai
Dagar pe dagmagaye
Bina nahi hausle sambhalte
Buri aadaton se bekarar hua
Bina galti me beizzat bhare bazaar hua
Bhaisahaab bayees hazar har mahine me
Bhasad me fas gaya seedhe berozgaar hua
Baitha gharpe chalaya jo dimaag mera
Rakha pair jisme pakka hai haath mera
Uski roshni se aankhein sabki hogi band
Wo hai taj jisse samaj baithe daag Mera
Tu hai saath me to
Kahi aur dekhu kyu
Har ek halaath me
Main tere sang hi dikhu
Mera jazbaato ko
Mujhse behtar jaane tu
Khuda ko chod du
Tujhe kabhi na jane du
Mujhe tujhme dikhta hai khuda
To khuda ko chodne
Ka sawaal hi nahi
TERA ALAWA KISI
AUR KA BAAWLA HO JAU
BABY AISA KOI BAWAAL HI NAHI
Hoti na narazi
Jab hojati naraz si
Subhe shaam padhu
Tu mere liye hai namaaz si
Khuda ka tohfa
Tabhi lagti khaas si
Khaas kar khasiyat me
Khamiyaan chup jaati
Teri
Nazakat banti gazal meri
Teri aankhon me dikhe bas shakal meri
Teri
Raaho pe jaato har sadak meri
Teri
Tadap bas hai talab Teri
One act play
Tu me hai EKANKIKA
Jaam jaisi chadti
Jaan meri tu janti kya
Deewane pan ki main
Rakhu nahi hadd
Sapne aur mehnat
Ke beech me tera naam likha
Darmyaan jo tere mere doori
Ho tera ek hukoom
Meri chale ji huzoori
Main teri yaadon me
Beh sa gaya
Mujhme reh sa gaya
Tera hissa ek zaruri
BECHAIN
Me hoon bada betaab
BEJAAN
Main bech aaya rooh ab
Mehsoosh kuch hota hi nahi kuch khota hi nahi
Mehfooz jo tu hai ab
Beetein lamho ki
Jo main gaun daastaan
To ashko ko mere mil jaata hai rasta
Behke girte
Jab panno pe milke
Sihayi se sab hojata hai saaf sa
Ek aur baar dil saaf tu kar
Deke saza mujhe
Mera insaaf to kar
Besahara hoon
Yu na mujhe chodke ja
Chahe tu roothle manau tujhe zindagi bhar
Tera gussa jayaz zaruri hai
Mara kismat ka meri majboori hai
Tu nahi to lage ye duniya khokli
Tera bina meri kahaani adhuri hai



Credits
Writer(s): Phenom 404
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link