Aziyat

Mujhe na pasand ki tu mil use
Mujhe na pasand ki tu dekh kuch
Mujhe na pasand tera dost mai khamosh
Mere aage kisi or ko na dekh tu

Dekh mera dil bahar aane ko hai
Saza ye sunaane ko hai
Zabaani chup rehta hu mera chehra hi kholta hai raaz
Mera dil jo chupaane ko hai

Raat raat bhar rou tere naam ko
Mai puchta bhi nahi
Rakhu kaam se mai kaam ko
Mai chahta hu dil tera mere naam pe hi rahe
Rona nahi chahta mai din raat shaam ko

Dekha khota sab kisi teesre ki wajah se
Ab tu bhi tode mujhe kisi teesre ki wajah se
Tu hasey apne beech kisi teesre ki wajah se
Mai maar dunga khud ko kisi teesre ki wajah se

Dekh kaise kaapte hain haath ye khayal se ke tu
Kisi or ke saath hai
Dekh kaise nochta hu haath ye khayaal se
Ki tu mere saath hoke bhi na saath hai
Dekh kaise jalta hai dil mera jab
Hothon se tere kisi or ka ye naam bahey
Dekh kaise marta hai mann jab paaya
Mere jaisi tere paas ek aur bhi toh jaan hai

Shayad tujhe bura lage sun kar
Shayad tu mujhse naraaz rahe
Par kabhi na kabhi toh mai bhi chahunga ke
Baatein sab meri kabhi tujhse na raaz rahe

Ham khud ko chodhh kar ke chahte hain
Ye zindagi saath rahe
Ham khud ko tod kar bhi chahte hain
Ki bas tu saath rahe

Jo mera hai mera rahega
Mai kyu du zara sa bhi hissa kisi ko?
Tu yaado mein mujhe basa
Kyu banne du mai dil mein ek kissa kisi ko?
Kyu samajh nahi paati ye baatein ki meri mohabbat mein kaafi sa farak
Mai likh kar ke rota hu Gaa kar ke rota hu
Kala bhi lagti ab narak h

Sab taraf andhera sa rehta hai
Chah kar ke tujhko bhi tut hi raha hu
Bahar mohabbat si rehti
Par andar se tujhse mai rooth hi raha hu
Ye baatein na puchu zabaani
Par fir bhi mai tujhse ye puch hi raha hu
Tu muje mohabbat jataati
Par fir bhi kyu tujhse mai tut hi raha hu?



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link