Aao Huzoor Tumko (From "Kismat")

Humse raushan hain chaand aur taareephen
Hamko daaman samajhiye gairat ka
Uth gaye hum agar jamaane se
Naam mit jaayega muhabbat ka
Dil hai najuk kalee se phulon se
Ye na toote khayaal rakhiyegaa
Aur agar aap se yah tut gaya
Jaan-e-jaan itnaa hi samajhiiyegaa
Kya?
Phir koyi baanvari muhabbat kee
Apanee zulfen nahin sanvaaregi
Aarti phir kisi kanhaiya kee
Koyi raadha nahin utaaregi

Aao huzur tumko, sitaron mein le chaluun

Dil jhoom jae aisee, bahaaron mein le chaluun
Aao huzur tumko, sitaron mein le chaluun
Dil jhoom jae aisee, bahaaron mein le chaluun
Aao huzur aao.

Humaraaz hamakhyaal to ho, hamanazar bano
Tay hoga zindagi ka safar, hamsafar bano
Humaraaz hamakhyaal to ho, hamanazar bano

Tay hoga zindagi ka safar, hamsafar bano
Aa ha ha, o o, ho ho ho,
Aa ha aa ha ha, o ho ho
Chaahat ke ujle-ujle nazaaron mein le chaluun
Dil jhoom jae aisee, bahaaron mein le chaluun
Aao huzur aao.

Likh do kitaab-e-dil pe koi, aisi dastaan
Jiski misaal de na saken, saaton aasamaan
Likh do kitaab-e-dil pe koi, aisi dastaan
Jiski misaal de na saken, saaton aasamaan
Aa ha ha, o o, ho ho ho,
Aa ha aa ha ha, o ho ho
Baahon mein bahen daale, hazaaron mein le chaluun
Dil jhoom jae aisee, bahaaron mein le chaluun
Aao huzur tumko, sitaron mein le chaluun
Dil jhoom jae aisee, bahaaron mein le chaluun



Credits
Writer(s): Onkar Prasad Nayyar, Dipin Raj, Noor Dewasi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link