Chaar Din

Kal mila koi bazaar mein
Poocha uss ne mujh se rasta
Dekh ke meri aankhoun mein
Samjha haal meray dil ka

Main bhi bhola seedha saadha sa
Saari daastaan suna baitha
Poocha "Aankhein band kartay ho tou
Chehra aata kiya uska?"

Sunaayi phir uss ne apni prem ki kahani
Woh bola janmoun ka hai yeh saath
Dartay jaaogay tou apna pyaar kho jaaogey
Yaad rakhna meri yeh baat

"Hai Zindagi yeh Choti
Jeenay ke hain Din Chaar
Agar tou chaaho tum bhi kisi ko
Keh do Hogaya hai Pyaar"

Ab laboun pe ek hi naam hai
Naam hai woh tumhara
Le lo tum mujhay jo baahoun mein
Kar ke aankhoun se ishaara

Maang ke tou dekho tum mujh se
Yeh jahaan main laa doon saara
Bin teray hai kitna aawaara
Dil mera yeh bechara

Kitnay saaloun se dabaaye baitha hoon yeh baatein
Par lo ji tum se kehta hoon aaj
Jaanta hoon kitni dosti bhi hai zaroori
Par pyaar ki hi baat hai aur

Hai Zindagi yeh Choti
Jeenay ke hain Din Chaar
Agar tou chaaho tum bhi kisi ko
Keh do Hogaya hai Pyaar

Hai Zindagi yeh Choti
Jeenay ke hain Din Chaar
Main kehna chaahoon tum se yehi
Tum se hogaya hai Pyaar



Credits
Writer(s): Saif Altaf
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link