Doori

Check Check Check

Raah chalta tha jo tu
Bheed mein sau baar
Khushnuma par tha kya tu?
Suit silva laya tha
Khaki par O Yaar
Saaf zyada tha kya tu?

Qayadon se khel ke, sau fateh samet ke
Tune samjha yahi dhokha hai yeh sabhi
Kayanat-o-jahan aur wajood-e-samaa
Apni zanjeeron ke tu pare ja kahi

Kaisi hai yeh doori?
Kaisi hai yeh doori khud ki khud se
Hogi kya yeh poori?
Hogi kya yeh poori milke khud se

Dharma ki lori sunke tune bhi
Har nazm dohrayi
Arthon ka pitara dekh ke, bheek mangi tune
Kaamon ki nasheeli raaton mein nafs paglayi

Par bata - farzi falsafe se dil ko kya mila?
Kya mita gham ka saaya O mere Humnava?
Socha hai kya kabhi, ek aayaam aisa bhi
Jo hai paar inke bhi, ho riha tu jisse hi

Kaisi hai yeh doori?
Kaisi hai yeh doori khud ki khud se
Hogi kya yeh poori?
Hogi kya yeh poori milke khud se
Kaisi hai yeh doori
Kaisi hai yeh doori



Credits
Writer(s): Atul Arora, Saattwik Dikshit, Shravan Sajjan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link