NAZARrr

Junoon k sath mein dekhoge toh
Aksar sabar bhi aata h
Btana ni padta kisiko bhi
Dekho - nazar bhi aata h
Haar k laakh kehte "bas aakhri dafaa"
Or jisko maan-ni ho haar
2 baar mein maan jaata hai
Lgake jaan daanv pe
Khwab ni marne deta wo saakar kar deta h
Jo bin soye dekh paata hai

Bss
Farak hai nazar - nazar ka
Nazariye se sab badalta
Ni paati sambhal safalta
Nazariya haalato k rang badalta

Farak hai nazar - nazar ka
Nazariye se sab badalta
Ni paati sambhal safalta
Nazariya haalato k rang badalta

Band kri do toh aankh teesri khuli
Maine 5 rakhi shaant 6thi indri khuli
And if you follow the heart
You don't need motivation
Kaisa khwaab alarm se pehle neend ni khuli

Aalsi Hai jo
Baat ni hai wo
Hone ko teri safalta mangti hai jo

"Naam ki hai daud"
"Bhaag likhe god"
Soch ye teri toh lagna haath ni h goal

Main Doobte ko tinke jaisa
Main ullu si aankho ko din k jaisa
Jo behre ko sune main wo pehli aawaz
Ummeed pe zinda Toote dil k jaisa Main

निराशा से मिलते रहता
Btata ni likhke kehta
Ummeedon mein aasman taaku
Andha aastik hu Sitaaro ko gin k baitha

Bas
Farak hai nazar - nazar ka
Nazariye se sab badalta
Ni paati sambhal safalta
Nazariya haalato k rang badalta

Farak hai nazar - nazar ka
Nazariye se sab badalta
Ni paati sambhal safalta
Nazariya haalato k rang badalta

Sabrr se milte hain meethe phal
Padte todne khud warna jaate gall
Suna, dekha, mehsoos kra - teeno alag
Na jahan jaisa pitaa ji k kaandhe par
Baithke dekha tha toh lga k yaha chalta sab
Ab hu Chalne lga - bass na chalta ab
Jaangya jabse imaarto ka sach
Aalishan lage mujhe mere ghar ka sab

Mehnati toh haar k bhi jeet-ta hai
Zehmati bigaad k bhi seekhta h
साहसी nidarr ho ye laazmi ni par
Haavi hone dena darr ko
Khudpe bhi toh theek na hai

Jaan gyi toh na dikhi laakh thi burai
Tarsa nazar ko de raakh bhi duhai
Jeeti jung mein zinda bacha aakhri sipahi
Bhale maraa ni par laasho ko di aakhri vidai

Mera Kon jaane shok?
Kon thaame honsh?
Kon pdhe peed meri?
Kon jaane rog?
Kya hi manau bachi jaan ka jashan
Jaan se pyaara khojaye
Toh ye jeena lage maut

Saamne dikhe toh ye nakaarti nazar
Paas na bache toh hai talaashti magar
Aankhein sabhi pe sabhi dekhte nai
Haqeeqat se apni rehti bhaagti nazar

Farak hai nazar - nazar ka
Nazariye se sab badalta
Ni paati sambhal safalta
Nazariya haalato k rang badalta

Farak hai nazar - nazar ka
Nazariye se sab badalta
Ni paati sambhal safalta
Nazariya haalato k rang badalta

Farak hai nazar - nazar ka
Nazariye se sab badalta
Ni paati sambhal safalta
Nazariya haalato k rang badalta



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link