Nami Danam

Musafir khoya, awara, bechara qafia na likh saka
Mushairon mei baitha, uljha phir suljha par qissa na jee saka
Tham chuka tha alfazon ka aabshaar
Kehta raha "Nami Danam mere yaar"

Musafir na jana keemat jo uski khalipan ne pesh ki
Musibat thi jo uski vo hi thi laakhon ke sukoon ki umeed
Dhoondh raha tha khud ko, tha vo lapata
Koi pooche toh kehta "Nami Danam mere yaar"

Baithe baithe ek din itminaan se jab aankhein kholi
Tab ek shama paayi,
Jisne us se poocha "kya juda kya toota itna jo tu bhaaga tha mujh se?"
"Roobaroo tha mai jab, khoje kyun ganeemat,
Gardishon mei itni raatein khoyi"
"Khalipan jo tera, vo hi hai sawera, namaloom ko bhi aazmaa le"

Musafir se poocha jab kisine "Kya hua vo qafia jo na likh sake?"
Musafir muskaya aur bola "Insaan ke bas mei kaha kuch rahe?"
Ban chuka tha khayalon ka vo badshah
Kehta raha "Nami Danam mere yaar"



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link