Tu Me Aur Ranjishein

Tu me aur ranjishein
Kyu hai aik panney pe
Kesi ye judai kyu hum na milsakey
Meri ye iltija sunley a khuda
Deta tu beshumaar tu de hummey mila
Woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi
Keh dhoop chaon ka alam raha judaai na thi
Mohabbaton ka safar is tarha bhi guzra tha
Shikasta dil thay musaafir shikasta paayi na thi
Kabhi ye haal ke dono me yakdili thi bohat
Kabhi ye marhala ke jesay ashnayi na thi
Adawatein thin taghaful thin ranjishein thin magar
Bicharhnay walay main sab kuch tha bewafaayi na thi
Bicharhtay waqt unki ankhon main thi humari ghazal
Ghazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi
Kisey pukaar raha tha vo doobta hova din
Sada to ayi thi lekin koi dihai na thi
Kahani bhi vohi he aur vohi anjaam hai
Mohabbaton ka saffar jisme koi maqam nahi hai
Afsoos milney nahi diya hummey is jahan ne
Heer aur ranjha bhi to marey isi tarah se
Tu me aur ranjishein
Kyu hai aik panney pe
Kesi ye judai kyu hum na milsakey
Meri ye iltija sunley a khuda
Deta tu beshumaar tu de hummey mila
Tu me aur ranjishein
Kyu hai aik panney pe
Kesi ye judai kyu hum na milsakey
Meray aaqa hum ghulaam hai
Kafi deewaney hai ab meray is qalaam ke
Hum mehfil me ab nahi bethtey
Warna hum peetay they jaam teray naam pe
Tu husan daar hai tu shair or tu shayari
Tu itni zaalim hai tu wapis kabhi ayi nahi
Guzaarey saal humney teray inteezaar mein
Hum behkey thay is soch me ke tu akhir ayegi

Tu me aur ranjishein
Kyu hai aik panney pe
Kesi ye judai kyu hum na milsakey
Meri ye iltija sunley a khuda
Deta tu beshumaar tu de hummey mila



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link