Soona

Kyun
Na jaane kyun
Lagne laga har din, har lamha rookha sa hi
Uljha sa hoon
Gardish mein yoon
Lipta hi ja raha isme
Suljha na paaon
Kyuki ye baatein be-rang si hai
Aadatein bhi wahi hai na
Phanda kaha se yeh shuru hai kahan khatam samjhe na
Khayaalo mein kho gayi, taraano ki taazgi hai na
Honge khatam kab ye saare sitam samjhe na

Din lagey thoda soona
Raatein bhi lagey sooni
Pheeka lagey yeh jeena
Kaisi yeh majboori
Khwaab hai bhulana
Kartey yeh toh sab hi
Poocha kya wajah toh
Kahe waqt ki galti
Kyun
Phande mein qaid hoon
Yeh berukhi jaaye na

Jaana mujhe hai kahin
Jaha miley roshni
Rang de yeh berangi
Raahatein jo na mili
Ghabraye mann kahi
Kya hai annt yahin

Baatein be-rang si hai
Aadatein bhi wahi hai na
Phanda kaha se yeh shuru hai kahan khatam samjhe na
Khayaalo mein kho gayi, taraano ki taazgi hai na
Honge khatam kab ye saare sitam samjhe na

Din lagey thoda soona
Raatein bhi lagey sooni
Pheeka lagey yeh jeena
Kaisi yeh majboori
Khwaab hai bhulana
Kartey yeh toh sab hi
Poocha kya wajah toh
Kahe waqt ki galti
Kyun
Phande mein qaid hoon
Yeh berukhi jaaye na



Credits
Writer(s): Aseem Anand Kurhekar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link