Pyaar Hai Toh Hai

Waadiyon ko dil ke badle mil gayi bahaar hai
Naam na rishte ka jaane phir bhi toh gulzaar hai
Chaahe Chakor chaand ko Taaron ka kya Meyaar hai
Haare na toh pyaar mein Wo Bisaat hi bekaar hai
Seep ko kar fanaa moti bana shringar hai
Phir bhi kyun usey paane ko rehta ye bekarar hai
Pyaar hai toh hai Pyaar hai toh hai
Poochho na kyun hai kaise hai
Pyaar hai toh hai Pyaar hai toh hai
Rehne do jo hai jaise hai

Nain bhi jab aansuon se, ho rahe hote juda
Ro rahe hote hain wo bhi, kahte-kahte alvidaa
Nain bhi jab aansuon se, ho rahe hote juda
Ro rahe hote hain wo bhi, kahte-kahte alvidaa
Saans aur dhadkan ke naate, se hi banti zindagi
Marr bhi jaayein par naa, ik dooje ke bin chalte kabhi
Maan lo toh prem aur, naa mano toh hai bus ik vaham
Dard me apna koi, socho kaise bane marham
Pyaar ki khushboo bane chhuye phoolon ko jo bayaar hai
Milne ki darkaar hai, varna toh kya bus khaar hai

Pyaar hai toh hai Pyaar hai toh hai
Poochho na kyun hai kaise hai
Pyaar hai toh hai Pyaar hai toh hai
Rehne do jo hai jaise hai



Credits
Writer(s): Anique, Armaan Malik, Palak Muchhal
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link