Adhoori Kahaniyaan

Kuchh adhoori si kahaniyaan
Kisi ne naa suni, naa janiyaan
Kuchh adhoori si kahaniyaan
Kisi ne naa suni, naa janiyaan
Ghum ke makaan mein
Baithe huye hum, tumse naa baatein karein
Tu bhi toh baitha tanha sa
Nazron se hoke pare
Ghum chahe kitne bhi the
Khulasa toh naa kiya
Mohobbat adhoori rahi
Tamasha toh na kiya

Tumse kabhi bola nahi
Kya baat teri baahon mein
Beparwa sa ye dil jo mera
Khada tha, teri raahon mein
Tune bhi toh bulaya nahi
Berukhi hai iss baat ki
Baatein abhi mai bhoola nahi
Tanha guzaari raat ki
Ghum chahe kitne bhi the
Khulasa toh naa kiya
Mohobbat adhoori rahi
Tamasha toh na kiya

Ikk daur aisa bhi tha
Tu meri dua, bannta tha har namaz mein
Tu baat kal ki kare, mai sunta rahu
Par jeena tha humko aaj mein
Kuchh toh teri betabiyaan
Kuchh thi hamari marziyaan
Chhoda tune iss qadar
Dekhi na meri arziyaan
Ghum chahe kitne bhi the
Khulasa toh naa kiya
Mohobbat adhoori rahi
Tamasha toh na kiya

Ke Neend na aane ka bahana
Toh mil bhi jayega
Zakhm chiila hai, toh sil bhi jayega
Tu chhoota, toh kuchh adhoora lagega
Tu chhoota, toh kuchh adhoora lagega
Mai tumhe isiliye kuchh nai kehta
Ke chhodo, tumhe bura lagega



Credits
Writer(s): Sahil Singh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link