Befikr (From "Gravitas")

Kyun tu khud se hai khafa
Kab tu khud se tha mila
Kyun tu itna besabar
Hai duniya ka ye asar

Dhudhe kin jawabo ko
Bhula apne khwaab tu
Chalta rehta darbadar
Kyun manzil se bekhabar

Chalpadhi
Hai ye apni kahani to
Pahuchegi jakar kahin
Jaise ki
Hai ye baarish ki bunde bhi
Manzil pe pahuchi sabhi
Har ghadhi
Kyun soche kya hoga jo
Hoga wo dekhe tabhi

Ban tu befikar kar sabar
Ek pal khud ki le kuch khabar
Le khwaabo ke par, kar safar
Tu udja kahin
Hoja khud ka hi humsafar
Khud pe kar zara tu fakr
Na aayega fir kal ye pal
Tu jeele abhi

Ho na khud se yun khafa
Nazrein khud se toh mila
Ban na itna besabar
Chal duniya pe kar asar

Paalega jawabo ko
Honge pure khwaab wo
Ab na rukna darbadar
Hai manzil teri safar

Chalpadhi
Hai ye apni kahani to
Pahuchegi jakar kahin
Jaise ki
Hai ye baarish ki bunde bhi
Manzil pe pahuchi sabhi
Har ghadhi
Kyun soche kya hoga jo
Hoga wo dekhe tabhi

Ban tu befikar kar sabar
Ek pal khud ki le kuch khabar
Le khwaabo ke par, kar safar
Tu udja kahin
Hoja khud ka hi humsafar
Khud pe kar zara tu fakr
Na aayega fir kal ye pal
Tu jeele abhi

Ban tu befikar kar sabar
Ek pal khud ki le kuch khabar
Le khwaabo ke par, kar safar
Tu udja kahin
Hoja khud ka hi humsafar
Khud pe kar zara tu fakr
Na aayega fir kal ye pal
Tu jeele abhi



Credits
Writer(s): Abhishek Bairagi, Hari Prasaad
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link