Kya Tum Crazy Ho

Desh ki haalat bigad rahi hai
Maanvata se sikud rahi hai

Ghar ke aage gandagi hai
Bimariyon ki kami nahi hai

Deviyan pooji mandir mein
Road par unki raksha nahi

Ganga-Jamuna ko maan maana
Par unmein kachra dho daala

Angrezi mein vidwan bane sab
Matrubhasha ka garv nahi ab

5G tak aaye, par ghar mein bijli kahan
Lakshmi jaane sab, par Saraswati ka gyaan kahan

Khabre bik rahi hai har pal
Tathyon ki parwah nahi ab

Nyay maange yahan har insaan
Par tark ho gaya kahin gumnaam

Nationality mein Indian likhte hain
Jaati mein Indian likhte hain
Har jagah mein Indian likhte
Par Bharatiya hone par garv nahi

Itna jaan ke, itna seh ke
Khoon tumhara khaula nahi?
Kya tum

Kya Vedon ka rahasya pata hai?
Asli dharma ka marm samjha hai?

Kya Charak Sanhita anukool hai?
Kyun 108 itna bahumoolya hai?

Baudhayan aur Aryabhatt ko pada kya?
Nalanda aur Takshashila ko hum bhule kya?

Kya ye shiksha pranali hamari hai?
Kya ye nyay palika bhi hamari hai?

Khudko Bharatiya kehne wale kya Bharat ka itihaas pata hai?

Itna jaan ke, itna samajh ke
Ab bhi tum chup chaap baithe ho
Kya tum crazy ho?

Aao badhao haath milao
Mil kar dhoondhe hum samaadhan

Jab ik dooje ka saath mile
To badle desh ki pehchaan

Hum hi karta is jagat ke
Hum hi bhavishya ke moortikaar

Hum par nirbhar kal ka sach hai
Hamaare paas ab iski kamaan

Shuruvaat kare agar sahi disha mein
Manzil mil hi jaani hai

Ek ek karke saari samasya
Hamne hi suljhaani hai

Hai dikhte saare sankat bade
Par chhote kadam badhaane hai

Bharat ka lok-tantra hai kathin
Par asli power dikhane mein
Kya tum crazy ho?

Shateshu jaayate shoorah sahastreshu cha panditah
Nishchitva yah prakramate naantarvasati karmanah

Janani janmabhoomishcha swargaat api gareeyasi
Asmaakam matrubhoomim punah swargavat kurmah

Ekeekritya vayam yat parivartanam drashtum ichhaamah tat bhavaamah



Credits
Writer(s): Chintan Parekh, Koushik Mukherjee, Tanmay Jain
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link