Tune Jo Na Kaha (From "New York")

Tune jo na kaha, main woh sunta raha
Khwah-makhah, bewajah khwaab bunta raha

Tune jo na kaha, main woh sunta raha
Khwah-makhah, bewajah khwaab bunta raha

Jaane kiski humein lag gayi hai nazar
Is sheher mein na apna thikana raha

Door chaahat se main apni chalta raha
Khwah-makhah, bewajah khwaab bunta raha

Dard pehle se hai zyada, khud se phir ye kiya vaada
Khamosh nazrein rahein bezubaan
Baaton mein pehle si baatein hain, bolo toh lab thartharate hain
Raaz ye dil ka na ho bayaan

Hoga ya ki asar koi humpe nahi?
Hum safar mein toh hain, humsafar hai nahi

Door jaata raha, paas aata raha
Khwah-makhah, bewajah khwaab bunta raha

Aaya woh phir nazar aise, baat chhidne lagi phir se
Aankhon mein chubhta kal ka dhuan
Haal tera na hum sa hai, is khushi mein kyun gham sa hai?
Basne laga kyun phir woh jahan?

Woh jahan, door jisse gaye the nikal
Phir se yaadon ne kar di hai jaise pehel

Lamha beeta hua dil dukhata raha
Khwah-makhah, bewajah khwaab bunta raha
Tune jo na kaha, main woh sunta raha
Khwah-makhah, bewajah khwaab bunta raha

Jaane kiski humein lag gayi hai nazar
Is sheher mein na apna thikana raha
Door chaahat se main apni chalta raha
Bujh gayi aag si, daag jalta raha



Credits
Writer(s): Sandeep Shrivastava, Pritaam Chakraborty
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link