Aap Ki Nazron Ne Samjha

Aap ki nazron ne samjha
Pyar ke kaabil mujhe
Dil ki ye dhadkan thehar ja
Mil gayi manzil mujhe
Aap ki nazron ne samjha

Ji hamein manzoor hain
Aapka ye faisla
Ji hamein manzoor hain
Aapka ye faisla

Keh rahi hai har nazar
Banda parvar shukriya

Hans ke apni zindagi mein
Kar liya shaamil mujhe
Dil ki ye dhadkan thehar ja
Mil gayi manzil mujhe
Aap ki nazron ne samjha

Aap ki manzil hoon main
Meri manzil aap hain
Aap ki manzil hoon main
Meri manzil aap hain

Kyun main toofaan se daroon
Mera saahil aap hain

Koi toofaanon se keh de
Mil gaya saahil mujhe
Dil ki ye dhadkan thehar ja
Mil gayi manzil mujhe
Aap ki nazron ne samjha



Credits
Writer(s): Madan Mohan, Raja Mehdi Ali Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link