Chehre

Chehre, yeh chehre
Haan chehre, yeh chehre

Dikhte hain yahan aise bhi chehre
Jahaan zahan mein dahej ka laalach
Par sar par baandein hain chamakte sehre
Jo labon par toh dikhate hai hansi
Par ansuon mein dard chhippe hain gehre

Chehre, yeh chehre

Yeh, kaise haalat karte ho tum
Unke, chehre ki baat karte ho tum
Kabhie tum roshni mein toh niklo
Apna, dikhaane mein raat karte ho tum

Yeh, chehra chupa kar kya paate ho tum
Kissi ko kuch, kissiko kuch aur dikhaate ho tum
Tumhaare apne tumhe nahin jaante
Waah kya baat hai, kya khel rachaate ho tum

Kai, chehron ko chand kehte ho tum
Tabhie, unki amaavas bhi sehte ho tum
Jhoote noor mein andhein hokar
Unki, jhooti baaton mein behte ho tum

Haan, yeh behroopiyon ka hai shahar
Sirf, nakaabon ka yeh hai pahar
Har pal yeh badalte hain
Chehre nahin, yeh toh ek behti nahar

Kai, chehron se darte ho tum
Kai, chehron par marte ho tum
Inn suraton ko sach man kar
Apne par, bahut zulm karte ho tum

Koi, behalane mein hai maahir
Koi, fuslaane mein hai saahir
Har chehre ki peeche ek chehra
Yeh baat, toh ek dum hai zaahir

Chehre, yeh chehre

Jo dete hain bhaashan par bhaashan
Par kaan unke apne hain bilkul behre

Chehre, yeh chehre

Jahaan karte hain sirf baatein
Par kadam unke apne hain thehre

Chehre, yeh chehre
Haan chehre, yeh chehre

Jo dete hain apnon ko azaadi
Par auron par daalte unche hain pehre

Chehre, yeh chehre
Haan chehre, yeh chehre



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link