Kaash

Kidhar jaake bolu main ki
Jeena nahi aata mujhe
Kidhar jaake bolu main ki
Zindagi ne maara mujhe
Kidhar jaake bolu
Sochne ki aadat hai
Kidhar jaake bolu inn
Khyaalo ne hi maara mujhe

Kidhar jaake bolu main ki
Khushio ki chaahat hai
Kidhar jaake bolu main ki
Sone mein hi raahat hai
Kidhar jaake bolu main ki
Thaka hu iss zehen se
Kidhar jaake bolu main ki
Rehem ki ibaadat hai

Kaaash na hoti aise
Zindagi mein mushkile
Kaaash ki pata hota
Kidhar hai yeh manzile
Kaaash na poora din
Soch mein main doobta
Kaaash na lut.ti meri
Khushiya aur mehfile.n

Kaaash na kabhi main bada hi hota toh
Kaaash na dekhni padti zindagi ki dikkate
Kaaash main khelta rehta apni hi duniya mein
Kaaash na hoti bade hone ki yeh hasrate.n

Kidhar jaake bolu main ki
Jeena nahi aata mujhe
Kidhar jaake bolu main ki
Zindagi ne maara mujhe
Kidhar jaake bolu
Sochne ki aadat hai
Kidhar jaake bolu inn
Khyaalo ne hi maara mujhe

Kidhar jaake bolu main ki
Khushio ki chaahat hai
Kidhar jaake bolu main ki
Sone mein hi raahat hai
Kidhar jaake bolu main ki
Thaka hu iss zehen se
Kidhar jaake bolu main ki
Rehem ki ibaadat hai

Kaaash jo yaaadein maine hass ke banai thi
Kaaash na banti voh vajah bhi yeh duhai ki
Kaaash main khwaaabo se door hi rehta toh
Kaaash na zarurat hoti mujhe khudaai ki
Kaaash jo pyaaar maine auro.n pe lutaya tha
Kaaash na kami hoti mujhe iss dawaai ki
Kaaash main apne pe dhyaaan thoda deta aur
Kaaash main ghar pe bhi thoda aur rehta toh
Kaaash main bhaag daudh mein aise bhi na fasta
Kaaash main khud pe bhi karta thoda zyada gaur
Kaaash yeh faasla kamm thoda hota mujhse
Kaaash main mil paata jo khud ko bhi thoda hasske
Kaaash main ladta na khud hi beemari se
Kaaash mujhe bhi koi lagaleta gale kasske
Kaaash main thoda aur seekhleta jeena bhi
Kaaash na hoti yeh zaroorat aansu.n peene ki

Kidhar jaake bolu main ki
Jeena nahi aata
Kidhar jaake bolu
Zindagi ne maara



Credits
Writer(s): Jaideep Dang
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link