Phoolon Ka Taron Ka, Pt. 2

Phoolon ka, taaron ka, sabka kahna hai
Ek hazaaron mein meri bahna hai
Saari umar hamein sang rahna hai

Phoolon ka, taaron ka, sabka kahna hai
Ek hazaaron mein meri bahna hai
Saari umar hamein sang rahna hai
Phoolon ka, taaron ka, sabka kahna hai

Jab se meri aankhon se ho gai tu door
Tab se saare jeevan ke sapne hain choor
Hey, jab se meri aankhon se ho gai tu door
Tab se saare jeevan ke sapne hain choor

Aaknhon mein neend na man mein chaina hai
Ek hazaaron mein meri bahna hai
Saari umar hamein sang rahna hai
Phoolon ka, taaron ka, sabka kahna hai

Dekho, ham-tum donon hain ik daali ke phool
Main na bhoola, tu kaise mujh ko gai bhool?
Haan, dekho, ham-tum donon hain ik daali ke phool
Main na bhoola, tu kaise mujh ko gai bhool?

Aa, mere paas aa, kah, jo kahna hai
Ek hazaaron mein meri bahna hai
Saari umar hamein sang rahna hai
Phoolon ka, taaron ka, sabka kahna hai

Jeevan ke dukhon se yoon darte nahiin hain
Aise bach ke sach se guzarte nahiin hain
Hey, jeevan ke dukhon se yoon darte nahiin hain
Aise bach ke sach se guzarte nahiin hain

Sukh ki hai chaah to dukh bhi sahna hai
Ek hazaaron mein meri bahna hai
Saari umar hamein sang rahna hai
Phoolon ka, taaron ka, sabka kahna hai
Ek hazaaron mein meri bahna hai
Ek hazaaron mein meri bahna hai



Credits
Writer(s): Anand Bakshi, Rahul Dev Burman
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link