Zindagi

Meri zindagi men saanp kaafi yaar bane
Hum bhaag pare inko dilon men hain daagh pare
Sapne toote, khouf dil men rkh ke jaag pare
Underground jaane mjhe urdu rap ki shaak banen

Kaash inke dilon men kabhi ahsaas bane
Kamana mushkil, chahen sab ke apne paiso ke bhi baagh bane
Nazar aisi sab pe rkhi jese hum bhi baaz banen
Roz shayari hum likhen pannon ko bhi raakh kren

Ab mujhse roya na jaye
Poori poori raat jaagun mujhse soya na jaye
Zakham dhoya na jaye
Wafa krne wala dost mujhse khoya na jaye
Nasha chora na jaye
Rishta qaim rkhna wala hoon main tora na jaye
Kuch bola na jaye
Kaafi chup mehfilon men raaz khola na jaye

Likhayi tez itni saare khaali panne bhar doon
Dil men main ghum leke aankhon men khushi ke aansun main bhar doon
Hustle jaari rkhun, khuwaab poore krdoon
Agr kuch na mila saadgi se bhi zindagi ko main basar kr loon

Zakham gehre per in zakhmon ko men bhar dunga
Mushkilen sar pe lekin maa baap ke liye lar lunga
Manzil oonchi, seer'hi tooti, lekin char lunga
Aur sochun roz maa baap ko kama ke apna ghr dunga

Dil bikte yahan jese ke koi bazaar ho
Kiya ye azaadi na raas, kiya tm aazaad ho
Mulaqaat nahi mujhse kiya tum naraz ho
Gheebat leke chalte kehte ke tm paak saaf ho

Mere gaane men hai idol mera aaghaz wo
Sunaoun kissay inke haal e dil bhi na saaz ho
Main khuli kitaab, na mera koi raaz
Mic jale aisa likhta jese bars aag houn

Tu flex krta tu ne kitna hai kama liya?
Zamana jale aisa studio bana liya
Jinho ne bhi khana tha humse jitna bhi khaa liya
Stage charhen samne dikhti mjhe bajti kaafi taliyan

Inmen hustle nahi hasad bhari peeche dete galiyan
Jab note banen, kharchay barhen kaanon men ho baaliyan
Sb per sab kuch luta diya per khudko maine kiya diya?
Inhon ne khud ko ganda krke meri nazron men hai khudko gira liya
Damn!

Muntazir main apne urooj ka
Shareekon se bhi haal chaal poochta
Wo lapata ke main sab jaanta
Aik yaar nikla saanp jisko samajhta mein jaan tha
Zindagi nikal pari alag mor pe
Baat karta men seedhi jani tol ke
Par aatay khayalat kuch aise jo na qaabil e bayaan
Betha rehta tabhi soch men

Ab mei betha awazar
Mere na koi saath jo ke pooche haal chaal
Ye saare khelen saanp seedhi to phir chalun main bhi chaal
Yahan sabke chehre 2, banen phiren adakar
Wese mein bhi hun kohtaiyon ka shikaar
Sab pe hoti nazar jabke ghaltiyan hazar
Betha khud se bezaar
Kese note juren chaar?
Kheir!

Ye mere baare kya sochen wo meri bala se
Haal e dil karta bayaan main qala se
Rukte nahi inke wo jhoote dilaasay
Ye jhoota zamana hein jhoote nazare
Bas karte dikhaway ye neecha dikhana men hote hain aagay
Ye karte aur poore na karte hain daway

Ab bethe tanhai men guzaaren saari raat
Wajah bani log aur kuch aise thay halaat
Par mujhe nahi koi chahye jo aake thaamay haath
Kyunke main ye jaanta mera Rab mere saath
Bewajah karte ye mere se behes
Main bhi leke chalun apni aik leher
Ghum ke taqazay men barhta hai qeher
Sagay rehte duur, saath chalen mere ghair
Qalam chalay tez, hain saf'hon ke paray dher
Be dili, ab hum likhen wo shair
Socha kuch raazon ko rehne doon raaz hi
Seekha har baat batani nahi laazmi
Apne hein dil men saath bhari saadgi
Har roz lagay saans jese aakhri
Yeah



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link