Mayajaal

O maya tu ne kaisa buna jaal
O maya tu ne kaisa buna jaal
Gareeb kehta hai
Ki do waqt ki
Roti bhi dushwaar
Ameer kehta ki
Paison ki
Zaroorat nahi hai yaar
Aur beech mein main phansa
Mera madhya-varg sansaar
Pehli taarik pe ameer
Aur aakhri pe kangaal
O maya tu ne kaisa buna jaal
O maya tu ne kaisa buna jaal
Engineer bana main padhai karke
Private meri naukri
Gaon mein mere he charche
Ab gaon mein kya bataun
Bade sheher ke kharche
Boss maare kode
Par gaon de ijjat bhar ke
Ijjat se mere yaar pet nahi bharte
Ye naukri na chhodte bane
Na he karte
Na he karte
Tankha ke nashe ne
Mujhe kar diya barbaad
Tankha se mera auhda
Tankha se meri pehchaan
O maya tu ne kaisa buna jaal
O maya tu ne kaisa buna jaal
Tau ka mere ladka
Vo tha mere barabar ka
Padhai mein dabba gol tha
Dhandhe ka usmein josh tha
Tau usko daant-ta
Milaayega tu mitti mein naam
Usne gusse mein thaan li
Aur khol di jalebi ki dukaan
Aaj babban halwai ki gaon mein
Chhappan hain dukaan
Main moti tankha mein gareeb
Uske mahal hain aalishaan
Uske mahal hain aalishaan
Sikhaya he galat tha
Naukri se banoge mahaan
Ijjat ka main kya khaak karun
Kiraye pe mera makaan
O maya tu ne kaisa buna jaal
O maya tu ne kaisa buna jaal
Gareeb kehta hai ki do waqt ki
Roti bhi dushwaar
Ameer kehta ki paison ki
Zaroorat nahi hai yaar
Aur beech mein main phansa
Mera madhya-varg sansaar
Pehli taarik pe ameer
Aur aakhri pe kangaal
O maya tu ne kaisa buna jaal
O maya tu ne kaisa buna jaal
O maya tu ne kaisa buna jaal
O maya tu ne kaisa buna jaal



Credits
Writer(s): Ankit Bareja
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link