Santoshi Mata Katha

Hum Maa Santoshi ki manbhaavan katha sunaate hain
(Hum Maa Santoshi ki manbhaavan katha sunaate hain)
Jiske sunne se paapi bhi moksh ko paate hain

(Ye gaatha ati mahaan)
(Sunne se ho kalyaan)

Kanchanpur mein ek thi budiya jiske putr the saat
Chhah bete the karte mehnat, bhagato, vo din-raat
Kintu chhota putr na karta tha kabhi bhi kaam
Khaa-peekar bas leta rehta, karta bas aaraam

Thik samay par sabko maata bhojan karwaati
Samajh gaya vo maata mujhpar pyaar hai lutaati
Ek din uski patni ne tha sab sach dekh liya
Chhah bhaiyon ka jutha uske pati ko khila diya

Soch rahi vo mere pati bas juthan khaate hai
Bhagato, katha sunaate hain

(Ye gaatha ati mahaan)
(Sunne se ho kalyaan)
(Ye gaatha ati mahaan)
(Sunne se ho kalyaan)

Uski patni ne usko jab ye sach batalaaya
Uski baat ko sunke maat pe yakeen nahi aaya
"Na dekhu main jab tak, priy, apni aankho se
Na jaanunga sach-jhuth teri in baato se"

Karke bahaana patli chaadar odh ke gaya vo let
Kya harqat maa karti hai, vo raha tha sab hi dekh
Usne dekha chhah bhaiyon ko maata rahi khila
Bache huye juthe bhojan ka laddu liya bana

Vo laddu fir diya use jab bhai chale jaate hain
Bhagato, katha sunaate hain

(Ye gaatha ati mahaan)
(Sunne se ho kalyaan)
(Ye gaatha ati mahaan)
(Sunne se ho kalyaan)

Bola vah maata se, "Ye bhojan na main khaaun
Main bhi thoda dhan kamaane baahar hi jaaun"
Lekar kapdo ki potli jab vah jaane laga
Jaata dekhke pati apne ko dukh tha hone laga

Bola pati, "Pardesh hu jaata, main dhan ko kamaaun
De do kuchh tum apni nishaani, jaldi hi aaun"
Boli dukhi hokar vo, bhagato, "Na kuchh dene ko"
Jhuk jaati hai fir to vah charno ko chhune ko

Gobar ke vo haath pati-charno mein lag jaate hain
Bhagato, katha sunaate hain

(Ye gaatha ati mahaan)
(Sunne se ho kalyaan)
(Ye gaatha ati mahaan)
(Sunne se ho kalyaan)

Jaake naukari karne laga vo saahukaar ke paas
Uski patni ghar mein ab to rehne lagi udaas
Uski saas ke uspe, bhagato, badh gaye atyaachaar
Nit hi usko daant lagaati aur thi karti raar

Sehti rahi har zulm saas ka, kya karti vo naari
Na sudh leenhi uske pati ne, thi uski lachaari
Lene lakadiyaan jungle mein nit roj vo jaati thi
Kintu saas bhoose ki roti use khilaati thi

Nit dekhe pati ki vo raah, kab laut ke aate hai
Bhagato, katha sunaate hain

(Ye gaatha ati mahaan)
(Sunne se ho kalyaan)
(Ye gaatha ati mahaan)
(Sunne se ho kalyaan)

Aaj bhi lene lakadiyaan vo to chali jungle ki or
Sunke bhajan mandir mein Maa ke khich gayi vo bin dor
Ek aurat se puchha usne, "Ye kya karti ho?"
Boli aurat, "Maa Santoshi ko nahi jaanti ho?

"Maata Santoshi ke kiye hai 16 shukravaar
Karna hai udyaapan humko, aayi hu darbaar
Sachche man se ye vrat jo bhi karta hai poore
Dukh-sankat na aate hain, na kaaraj rahe adhure"

Isi liye hi bhakt sabhi Maa ke gun gaate hain
Bhagato, katha sunaate hain

(Ye gaatha ati mahaan)
(Sunne se ho kalyaan)
(Ye gaatha ati mahaan)
(Sunne se ho kalyaan)

Uski baatein sunke usne man mein thaan liya
"16 shukravaar karungi tere main ye, Maa"
Lakadi lekar aayi ghar, khabari paayi hai
Padhi pati ki chitthi jo badi door se aayi hai

Thoda sa dhan paaya jo pati ne bhijwaaya
Maata Rani ki, bhagato, uspe ho gayi chhaaya
Maa ke mandir mein jaake vo Maata se boli
"Na chaahun main daulat, Maa, pati se bhardo jholi"

Fir vo apne seth se chhutti chaahte hai
Bhagato, katha sunaate hain

(Ye gaatha ati mahaan)
(Sunne se ho kalyaan)
(Ye gaatha ati mahaan)
(Sunne se ho kalyaan)

Ab seth ka nit hi badhne laga tha karobaar
Patni ke poore hone wale the shukravaar
Kaafi dhan-daulat de usko seth ne kiya vida
Jaake pati patni se apni jungle mein hai mila

Dekh ke haalat patni ki fir hua bada afsos
Kar bhi kya sakta tha, isme nahi kisi ka dosh
Agle hi din aaya, bhagato, saulahva shukravaar
Vrat ke udyaapan ko dono hi hain huye taiyyar

Dhoom-dhaam se vrat udyaapan vo kar jaate hain
Bhagato, katha sunaate hain

(Ye gaatha ati mahaan)
(Sunne se ho kalyaan)
(Ye gaatha ati mahaan)
(Sunne se ho kalyaan)

Uski jethani milkar fir to lagi sochne chaal
"Itni jaldi dono kaise ho gaye malaamaal?"
Boli, "Ab to udyaapan padega bhang karwaana"
Bacho ko batalaaya, "Dakshina leke khataayi khaana"

Dwesh bhaavana lekar man mein kar di thi chaturaayi
Bhandaare mein unhone jaake mila di hai khataayi
Krodhit huyi Maata, unpar fir hai to kop kiya
Haath-pair ho gaye fir tedhe, maar gaya lakawa

Fir to sab Maa Santoshi se maafi chaahte hain
Bhagato, katha sunaate hain

(Ye gaatha ati mahaan)
(Sunne se ho kalyaan)
(Ye gaatha ati mahaan)
(Sunne se ho kalyaan)

Fir khush hokar Maata ne un sab par ki hai karuna
Pehle jaise haath-pair kar sahi kiya lakawa
Fir sabne hi vrat udyaapan ho prasann kiya
Maa Santoshi ki ho gayi thi sab par hi daya

Khush hokar Maata ne unko diya hai fir vardaan
Jo bhi kare 16 shukravaar, vo paaye sammaan
Santoshi Maata bhagato ka karti beda paar
Jo bhi gun gaaye Maata ke ho uska uddhaar

Ab jeth-jethani meri Maata ke hi gun gaate hain
Bhagato, katha sunaate hain

(Ye gaatha ati mahaan)
(Sunne se ho kalyaan)
(Ye gaatha ati mahaan)
(Sunne se ho kalyaan)

Ye vrat bada hi faldaayi aur paap ka naashak hai
Paata vo Maata ki kripa jo Maa ka upaasak hai
Gud aur chane ka bhog Maat ko ati man bhaata hai
Yahi prasaad bhagato ko bhi batwaaya jaata hai

Maa Santoshi ki gaatha jo karta hai raspaan
Kashto se mil jaati mukti, aur paata sammaan
Ram Pal Ji suman Sharda Maa ka dhyaan karte
Maa Santoshi ke charno nit haajari bharte

DS Pal Santoshi Maa ki katha ko gaate hai
Bhagato, katha sunaate hain

(Ye gaatha ati mahaan)
(Sunne se ho kalyaan)
(Ye gaatha ati mahaan)
(Sunne se ho kalyaan)



Credits
Writer(s): Munendra Premji
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link