Tum Bhi Na Jaate

Kaagaz pe utre na lafz ye saare
Ashqon ne bhar di kitaabein hazaar
Kitne sahaare hum le le ke haare
Phir bhi inn lehron mein nikle na paar
Kyu tere jaane ke baad mein raha na koi saath hai
Kyu ye hua bata?
Kya tera bhi wahi haal hai, kya tujhko malaal hai?
Hum hain juda
Kabhi roka toh hota hum ruk jaate
Kabhi thaama hota jo kas ke
Baahon mein teri hi simat jaate
Kuch na keh paate, kuch na sun paate
Tum bhi na jaate

Dur hai mujhse tu, apne paas main bhi hu kya
Na milu khudse main, phir kisi se kya ho gila
Besudh si aankhon mein chehra tera ho toh kat jaaye ye raasta
Par tu kahaan
Kyu abhi bhi intezaar hai, kyu rab bezaar hai mujhse hua bta
Kya ye marz la-ilaaj hai, kya bachi koi aas hai? ya hai saza ata?
Kabhi roka toh hota hum ruk jaate
Kabhi thaama hota jo kas ke
Baahon mein teri hi simat jaate
Kuch na keh paate, kuch na sun paate
Tum bhi na jaate
Roka toh hota hum ruk jaate
Tum bhi na jaate, tum bhi na jaate
Baahon mein teri simat jaate
Kuch na keh paate, tum bhi na jaate
Roka toh hota hum ruk jaate
Tum bhi na jaate, tum bhi na jaate
Kitne mausam sanwar jaate
Kuch na keh paate, tum bhi na jaate
Kyu tere jaane ke baad mein raha na koi saath hai



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link