Teri Baatein (From "Gravitas")

Tumse tumhaare zindagi ke kuch pal chura lu
Jee karta hai tumhe apne dil mein kahin chupa lu
Mere kuch bina zikr kiye mere alfaazo ko samjh lete ho
Phir kyun mere mohabbat ko parakh nhi paate ho

Hai safar me mere
Kaante har kadam
Jaane kyun hai ye dagar
Bas pukare ye tujhe
Hai magar teri
Baatein ye sanam
Zakhmo pe marham
Tu sambhale mujhe

Haatho ko tere
Thaame chalna
Tere saath chalna
Dil chahe yahi
Befikr teri
Baatein sunna
Baithe taare ginna
Raat bhar yuhi

Tera hona hai sukoon ka hona
Tere hone se hi hai har khushi
Tu hai mila to junoon hai mila
Tere hone se hi mili zindagi

Teri baatein aur ye saara sheher tera
Bhula me musafir saara safar mera
Khoya khoya ghumu leke asar tera
Behki behki baatein hai bas zikar tera

Beparwah tu hai
Mai bhi befikar
Tujhme hi
To ghar
Hai dhundhe mera mann

Tera hona hai sukoon ka hona
Tere hone se hi hai har khushi
Tu hai mila to junoon hai mila
Tere hone se hi mili zindagi

Phir... Phir kya
Ek aur nyi dastaan banti chali gyi
Ek naye rastein pe hum dono chalte gye

Teri baatein aur ye saara sheher tera
Bhula me musafir saara safar mera
Khoya khoya ghumu leke asar tera
Behki behki baatein hai bas zikar tera

Beparwah tu hai
Mai bhi befikar
Tujhme hi
To ghar
Hai dhundhe mera mann



Credits
Writer(s): Abhishekh Bairagi, Hari Prasaad
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link