Ajeeb Sa Gaana Par Theek Hai

Andhere se faasle aaj tak
Raate dedeti hain maat tak
Gaane muqammal nahi hote
Tere ek din se mere ek khwab tak
Wo azaadi hi kaisi jaha na ho tere haath me haath ab
Tum aati ho dil me mere
Khatm hojane ke baad ke baad tak
Mai likhne hi baitha tha zindagi
Tera zikr aaya ruk gayi zindagi
Kagaz bhi poochta mujhse
Isse aage kaise likhoge zindagi
Mai aasu jab tolta
Lafz batate galat sahi gin ke bhi
Chahta tha zakhm bhare
Zakhm hi zakhm bhar gaye mujhme hi

Some on the low Some on the high
Gale milne ko yaha koi nahi bhai
Teri rifaqat inn nazar me qaid hai
Tabhi i see eye to eye
Par tu aayi nahi aayi nahi laayi nahi
Pehle ki baat

Haasil to dil ke the
Bedili se kaise jaa mile
Maut ke waade the saath
Ab dhoondne se bhi kahi na wo jaan mile
Khaali sadak hai
Dono siroh pe akele khade hain hum
Misal banne chale the
Misal ban gaye hain hum

Waqt ki qaid me ruwa
Dur tha apne unbune resham se
Rolling my pain on papers
Roll nahi krta ghum apne paper me
Baitha ke pucha mujhe
Ek hi ghum se kaise sab kuch tham gaya
Chua jis cheez ko bhi
Wohi mera yaha naya gham ban gaya

Rishte bikharte hue dekhen hain
Tabhi pata mujhe ahmiyat inn rishto ki
Wo taaqat bhi kya hi hai taaqat
Unwan bane jo unn tute hue hisso ki
Ghar me ladaiya thi bauhat
Saha hai kaafi kuch bachpan se maine bhi
Mere khat to padhe the
Par padh nahi payi tehreer in qisso ki

Mai hu ek qissa Ek qissa hai tu bhi
Ek qissa ye shaam Ek qissa bas yuhi
Ek qissa tha milna Ek qissa hai doori
Ek qissa tha raunak mohabbat bakhoobi
Ek qisse me ab bhi hum saath hain
Ek qisse me reh gayi unkahi baat hai
Ek qissa ye kamra Ek qissa ye khidki
Ek qisse me mai hu Ek qisse me tum ho

Khud ki ziyarat me gum ho
Kya ab bhi tum tum ho
Kya usse bhi sada ka waada kiya hai
Ya waado se ho chuki sun ho
Gaane ab bante halaat pe
Toh puchun nahai tumhse kya uski dhun ho
Khuda se faasla
Kya mere aqeeda bhi tum ho

Tum ho Tum ho Tum ho
Tum ho Tum ho Tum ho
Tum ho nahi Mai hi saath
Thehra yaha
Aaakhen band hosh me kaha
Gira nahi abhi bhi khada
Dhoond raha doosri wajah
Ye rap shit mujhe thoda bha rha hai
Par paisa bhi toh yaha apna keher dha raha hai
Waqt ki taqseem me lage hain saare log
Waqt guzarne me bhi to mera waqt
Jaa raha hai

Pairo me chale pade hain
Par daudte rehna hai kodo ke paar
Akele wo ladk jo andar se mar chuka
Koi bhi nahi hai kehne ko paas
Umar ho gayi hai paise kamane hain
Kaise le chale wo dukhon ko saath
Dil bhi kabhi jo bhoole dhadakta hai
Kehta hai bhaag bhaag bhaag



Credits
Writer(s): Shuja Hasan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link