Safar

Jaane anjaane meri raahein mujhse baatein karein
Nahi pata hai meri manzil ka aa milke khojein
Jaau waha jaha bhi le jaaye mera ye safar
Chal pada hu akela mujhko na kisiki khabar
Raaste saare ye ban gye hai mere Humsafar
Main thaku giru bhi ruku na main par is dagar

Chaahoon main to naapna pura zamana
Kaise khudko roku main khud hi na jaana
Badhta mera raahiyon se yu yaarana
Chalta rehta main khud hu safar aawara

Aankho m hai
Nazaare Kai
Sitaro ne haa
Kaha jee le abhi
Raatein ye nasheeli, subah ho surili
Bahoon mein hai meri aashiyana saara
Manzilo ne mjhko hai pukara jese
Pyaasa ye pukaare nadiyo ka kinaara

Behti hawao sa main firta hu yaha waha
Tairti kashtiyo sa sang chalu nehre jaha
Peechcha Karu main inn wadiyo mein un titliyo ka
Koyal bhi mere sang udti chale gaate ye nagma
Jeena hai mujhko wese dkha tha mene Jo sapna
Aakhein moondo bhi to lagta hai ye Jahan hain apna

Chaahoon main to naapna pura zamana
Kaise khudko roku main khud hi na jaana
Badhta mera raahiyon se yu yaarana
Chalta rehta main khud hu safar aawara



Credits
Writer(s): Shivesh Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link