Me & You

Jana tere jaisa yaar hi nahi milta
Saroon se me bezaari se milta
Ghar me toh roshni hi nahi mere
Tujhe khabar he na khali koi chiraag hi nahi jalta
Still i try to hold it down for you tu raazi ho me aisa kiya kahoon
Tu aaj hi aaya mere khuaab me
Lekin khuli jo aankh to laga mein abb bhi khuaab mein hu
Tu bada beparwa sa
Khol dill ka ye darwaza
Ghuneghar ko tu de saza
Akhyein laal cause we smoke zaza
Yaad nahi kab kam pi thi
Lekin ajj sab kahein pee li maine bohot zaada
Puri duniya mere hath mein he
Lekin tera hath na ho haath mein toh sab aadha
Dill ko dill se raah nahi rahi
Meri jaan mujhey bhi ab teri chaah nahi rahi
Matlab ke maut se milun toh kuch sukoon ho
Jeeney mein toh ab wou baat hi nahi rahi
Peene ke liye zeher hai dasteyaab par
Meri maut ki wajah sharab hi rahi
Jee aap wo leti mera naam nahi
Guftugoo bas aap janab tak hi rahi
Ghum-e-shaam mein izaafa ho raha hai
Kahin ka waada kahin wafaa ho raha hai
Ye sauda dill ka hai jo ghaata ho raha hai
Wo murh kay aaya na wou jata jo raha hai
Dill ke makan se nikal ke dekho janeman
Dill ke bazar mein tamasha ho raha hai
Zehen ko zindagi ki fikar khaa gayi
Ye mera dill kam az kam gaata to raha hai

Kiyu rehti ho dur
Tootey taaron ki maanind hi tuta hai mera guroor
Yu tera sulook
Na tera veham ab raha na hi mera wujood
Hui kiya subah
Uske jaane se pehle hua tha jo suraj guroob
Hua phir tulu'u
To kiyu itne dur
Dhalte suraj ki maanind ab dhal hi gaya mujhme tu
Tujhme mein mai
Me and you

Kia tere ansuon se likh raha hooon
Kia ab dhuon mai bhi dikhraha hoon
Andheron main mai bikhra rahoon
Tu agar meri nahi tou phir mai tujhe kis ka kahun
Bheed hi bheed hai mai ghutt raha hoon
Apne chahne walon se hi ab mai chup raha hoon
Ye lafz biktay nahi bazaron mai
Sirf tere muu pe chup raha hoon
Dil udaas tere dil mai nahi dimaag mai thay
Har sawaal tou sunen magar jawaab nai den
Kehti ayi jab bhi yaad tum tou sath nai thay
Mera shauq mera kaam, mere khuaab tou dekh
Kese rokogay mujhe ye sajjay bagh tou dekh
Always real with my homies. I dont like to fake
I don't like to wait either ye adaab tou dekh
Khuda hero meri story ka ye life at stake
I'm a killer with a motive
You just quote man we wrote it
I'm the hope, i'm a poet
32 bor pari loaded
Teri soch choti chotay
Tere dard karen goday
Mere bol mera forte
Alag zor, urren totay
Apni maut se hi hath yu mila aye
Kitne pehle mujhse kitne mere baad aye
Kitne geet likhe tujhpe jo jala aye
Teri yaad aye jese ghar se bhaag aye
Ye lafz teer tou kamaan tum ho
Meri awaaz ye zabaan tum ho
Abhi bhi zinda par mehmaan tum ho
Mai pareshaan par hairan tum ho
Na hi per na koi saya, humne khud ko bhi hassaya
Tu ne ajnabi banaya par koi baat nai
Saara bhoj bhi uthaya, maine raasta dikhaya
Maine jitna bhi kamaya mujhe yaad nahi

Kiyu rehti ho dur
Tootey taaron ki maanind hi tuta hai mera guroor
Yu tera sulook
Na tera veham ab raha na hi mera wujood
Hui kiya subah
Uske jaane se pehle hua tha jo suraj guroob
Hua phir tulu'u
To kiyu itne dur
Dhalte suraj ki maanind ab dhal hi gaya mujhme tu
Tujhme mein mai
Me and you



Credits
Writer(s): Talhah Yunus, Talhah Anjum
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link