A Letter To My Ex(Es)

Tere jaane ke baad thoda waqt laga par haan ab

Khush rehna seekh liya maine
Khush rehna seekh liya maine
Khush rehna seekh liya maine
Tere bina meri jaaaaaaanaaa

Khush rehna seekh liya maine
Khush rehna seekh liya maine
Khush rehna seekh liya maine
Tere bina meri jaaaaaaanaaa

I'm happy now
Ab rou naa
Teri yaado mein
Main sou naa
Main jee rha
Khud ke liye
Ab dard ko
Main peeu naa

Aisa nahi hai ki maine tujhse
Kabhi mohabbat nahi kari
Hum dono ko maalum hai ki
Har ek lamha maine tere liye jeeya tha
Kaafi dard hua tha jab
Tu yu.nhi sab khatam karke chali gayi thi
Kaafi waqt laga tha mujhe
Khud ke chehre pe voh muskaan vaapis laane mein
Par ab khush hu main
Tujhe bhula toh nhi hu
Aur naa hi shayad kabhi bhulunga
Par ab dard kamm hota hai
Teri yaado ke saath jeene mein
Kaafi dafa socha maine ki
Agar aisa hota ya vaisa hota
Par jo hua voh hona hi tha
Aur shayad acha hi hai ki hogya
Sahi kaha tha tune ki
Hum theek nahi hai ek dusre ke liye
Theek toh tab hote jab
Hum dono hi iss rishte par mehnat karte
Sirf main nahi
Dua karta hu ab bhi teri khushio ke liye
Bass ab tujhe apne saath nahi dekhta
Tu jahaa rahe apni zindagi mein khush rahe
Par haan ab tujhe paane ki khwahish nahi hai meri
Kyunki

Khush rehna seekh liya maine
Khush rehna seekh liya maine
Khush rehna seekh liya maine
Tere bina meri jaaaaaaanaaa



Credits
Writer(s): Jaideep Dang
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link