Tu Jaana Na Piya

Tere aake yoon jaane se bechain hai fiza meri
Ho, har nazar, har khabar pe rehti nigaah meri
Ho, tujhe kaise ye bataayein, hamne kya-kya dekha
Kaise logon se rishte the, kaise the mere karam
Ham kahin kho na jaayein, ye dar hai rehta
Tu haath thaam ke mera bas tod de bharam

Soona sa ye jahaan
Kaali raaton mein ham
Tanha baithe yahaan
Tujhse ek cheez maangte hain ham

Tu jaana na, piya
Mera tere bina koyi na yahaan
Ye dil keh raha
Tu jaana na, piya
Chhoti si umr se sab hai dekha
Ab jhela jaaye na

Tu aaja
Nahin lagda, nahin lagda
Nahin lagda tere bin mera
Nahin lagda, nahin lagda jiya

Tu aaja
Nahin lagda, nahin lagda
Nahin lagda tere bin mera
Nahin lagda, nahin lagda jiya

Ho, jaan-e-jaan, ye hai meri zindagi (zindagi)
Ke mujhe wo na mila jiski mujhe thi kami (thi kami)
Par ab samajh aaya ye ke jeena mera hai tujhse hi
Bas bol nahin paaye ham, par baatein kayi na chhup sakin

Ab laage, soona sa ye jahaan
Kaali raaton mein ham
Tanha baithe yahaan
Tujhse ek cheez maangte hain ham

Tu jaana na, piya
Mera tere bina koyi na yahaan
Ye dil keh raha
Tu jaana na, piya
Chhoti si umr se sab hai dekha
Ab jhela jaaye na

Tu aaja
Nahin lagda, nahin lagda
Nahin lagda tere bin mera
Nahin lagda, nahin lagda jiya

Tu aaja
Nahin lagda, nahin lagda
Nahin lagda tere bin mera
Nahin lagda, nahin lagda jiya

Tu aaja
Tu aaja
(Aaja, piya, aaja, piya, aaja, piya)
Tu aaja



Credits
Writer(s): David Breadmore Arkwright, Natania Lalwani, Miranda Glory, Arpan Kumar Chandel
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link