Dil Darya

(hoooooooo)
Chalte chalte iss rastay peh aya mein kahan?
Socha kuch tha, nikla kidhar, aur pohancha mein yahan
Apni soch se bhaag ker bhi dur na hua
Jo bhi gham thay purane woh ho gaye jawan

Khwab thay jo mere fikr ban gaye
Khushiyon ki khoj mein sukoon bhi gum gaye

Kitnay arsay na jane andheron mein guzre
Dil darya waqt toofan har dum kat te rahe

Aj meri awaz bhi mujhe se chin gayi
Aj meri rooh bhi mujh mein gum gayi
Koi iss kainat mein mujhe bata de zaraa
Kahan hoon mein ajkal, kya hai mera pata?

Khwab thay jo mere fikr ban gaye
Khushiyon ki khoj mein sukoon bhi gum gaye

Kitnay arsay na jane andheron mein guzre
Dil darya waqt toofan har dum kat te rahe
Kitnay arsay na jane andheron mein guzre
Dil darya waqt toofan har dum kat te rahe

Paharon ki chattano pe jo tujh ko na mil saka
Samandaron ki lehron mein jo tujh ko na mil saka
Jo dhoondta tu har jaga wo tujh mein hi to hai chhupa

Kitnay arsay na jane
(wo tujh mein hi to hai chhupa)
Dil darya waqt toofan
Wo tujh mein hi to hai chhupa

Credits
Writer(s): Ahmad Salahuddin, Ayesha Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link