Tu Hai Kahan

Haan kaise raaste mein
Aa khada hoon jaane main
Yaha hum bhatke se musafir
Naa thikaane hai
Guzaar di thi ek sadi
Maine bhi intezaar mein
Kaafi der kardi
Tumne pass aane mein

Hum tere chahne wale hai
Par hum begaane hai
Jo tere saath hai
Woh jismon ke deewane hai
Rehke jismon se pare
Hum chahein rooh ko teri
Gungunaaye joshi ka geet
Ke tu sunegi

Main tere baare na likhu
Toh yeh kalam bhi rooth jaye
Ek zindagi kya
Tujhpe 10 janam bhi vaare
Tu toh mushkurate dekh
Mujhe bass ek dafaa
Hum teri ek jhalak mein poori
Zindagi lutaade

Main tere bin
Kisika hosaka naa
Teri wafaa ka kaisa hai asarr
Tu hi bata naa
Tu hi bataade lafzo mein
Karta rahu bayaan main kabtakk
Kabhi aake tu mohabbat
Mujhse yeh jata naa

Maine bhoolna bhi chaha
Parr woh hosaka na
Tera hoke bhi dekha
Parr tu mera huya naa
Parr main khushnaseeb hoon
Ke tum the zindagi mein aaye
Kya hua jo zindagi bharr
Meri zindagi raha naa

Hum teresang bitaaye
Palo'n ko kaise bhulaaye
Hum tujhse rooth hi nahi sakte
Khud se rooth jaaye
Jo tu kehde ek dafaa
Ke tujhko lagg rahi hai thand
Tere ek ishaare pe
Hum khudko hi jalaade

Kitni muddatein huyi hai
Tumne khatt kyu nahi bheja Gaa leta hoon tere liye
Mausiqi nahi hai pesha
Aane ki khabar hi nahi tere ab Ab kya mausam'on se puchu
Tere aane ka andesha

Ankhon mein aansu nahi hai Kahan hai tu
Kahan tu nahi hai Dil ko yeh ab jaan'na hi nahi
Tu hai kahan Khwabo ke iss sheher mein
Mera dil tujhe dhundta
Dhundta!

Arsaa hua
Tujhko dekha nahi
Tu naa jaane Kaha chup gaya
Chup gaya



Credits
Writer(s): Ankit Thapa
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link