Khoya Khud Ko

Baadalon me udta tha mai girne ka tha na dar
Manzil mile ya na mile rukti na thi ye safar
Aaya tha mai paane sabhi par kho ke bhi jeeta khushi
Lekin wo kal ab aati nhi jabse khoya khud ko kahin

Jo dil me thi baatein meri takdeer bas wahi
Aisa hi tha mai har ghadi aage ki thi na padi
Jo bhi mile usme khushi jo na mile wo na sahi
Lekin wo kal ab aati nhi jabse khoya khud ko kahin

Socha na tha aunga mai is tarah aise mod pe kabhi
Thi ye meri nadanagi aur toot gayi meri khud se yakeen
Jo kal tha ab na hai zindagi adhuri si
Lautega wo pal bhi aur hogi subah firse meri

Baadalon me udta tha mai girne ka tha na dar
Manzil mile ya na mile rukti na thi ye safar
Baadalon me udta tha mai girne ka tha na dar
Manzil mile ya na mile rukti na thi ye safar

Toote hue sapne ko phir se sawarunga
Raste jo kho gye the unko bhi dhundunga
Khud k yakeenon ko mai fir se jaga lunga
Zindagi jo ek mili h usko mai jee lunga
Zindagi jo ek mili h usko mai jee lunga
Zindagi jo ek mili h usko mai jee lunga



Credits
Writer(s): Rohit Jha, Sweta Shree
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link