Ram Aayenge

Aaj gali-gali Awadh sajayenge
Aaj pag-pag palak bichhayenge

Oh, aaj gali-gali Awadh sajayenge
Aaj pag-pag palak bichhayenge
Aaj sookhe huye ped phal jaayenge

Naina bheege-bheege jaayein
Kaise khushi yeh chhupayein, Ram aayenge
Kuch samajh na paayein
Kahaan phool bichhayein, Ram aayenge

Naina bheege-bheege jaayein
Kaise khushi yeh chhupayein, Ram aayenge
Kuch samajh na paayein
Kahaan phool bichhayein, Ram aayenge

Sarju jal-thal, jal-thal royi
Jis din Raghav huye paraaye
Oh, birha ke sau parbat pighle
Hey Raghurai, tab tum aaye
Yeh wahi kshan hai niranjan
Jisko Dashrath dekh na paaye

Saat janmon ke dukh kat jaayenge
Aaj Sarju ke tat muskayenge
Mor nachenge, papihe aaj gaayenge

Aaj dason yeh dishayein
Jaise shagun manayein, Ram aayenge
Naina bheege-bheege jaayein
Kaise khushi yeh chhupayein, Ram aayenge

Kabhi dhol bajayein
Kabhi dwaar sajayein, Ram aayenge
Kuch samajh na paayein
Kahaan deep jalayein, Ram aayenge

Jaake aasmaanon se taare mang laayenge
Kaushalya ke Lalla ji, tumhin pe sab lutayenge
14 saal jo roke, woh aansoo ab bahayenge
Awadh mein Ram aayenge, humare Ram aayenge

Neel-gagan se saanwale, koti Surya sa tej
Narayan taj aaye hain Sheshnaag ki sej
"Raghav, Raghav" karte the yug-yug se din-rain
Aaj Prabhu ne daras diya, dhanya huye hain nain

Natmastak hain teen lok
Aur sur-nar karein pranam
Ek Chandrama, ek Surya
Ek jagat mein Ram
Ek jagat mein Ram

Aaj dason yeh dishayein
Jaise shagun manayein, Ram aayenge
Naina bheege-bheege jaayein
Kaise khushi yeh chhupayein, Ram aayenge

Kabhi dhol bajayein
Kabhi dwaar sajayein, Ram aayenge
Kuch samajh na paayein
Kahaan deep jalayein, Ram aayenge



Credits
Writer(s): Payal Dev, Manoj Muntashir, Vishal Mishra
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link