Safar

Mera jo Safar hai, kaisi ye dagar hai
Aasman se oonchi, sapno ki lehar hai
Mushkile bhi hai, manzil nayi hai
Ho jaye kuch bhi, Rukna nahi hai

Kise pata hona hai kya?
Jo bhi hua wo kyu hua?
Aage ka kya hai raasta?
Bas yun hi chalte jaana yahan
Meri tarah dekho zara
Khud se lo ab aankhein mila
Jaana wahan jahan hai khuda
Bas yun hi chalte jaana yahan

Mera jo Safar hai, kaisi ye dagar hai
Aasman se oonchi, sapno ki lehar hai
Mushkile bhi hai, manzil nayi hai
Ho jaye kuch bhi, Rukna nahi ha

Sapno ki chadaron mein, lipta main so raha tha
Duniya ki bheed mein main, ajnabi sa ho raha tha
Kaise hua ye manzar?, pata na chala mujhe
Kaise hua main bekhabar, pata na chala mujhe

Fir bhi raha main chalta, Raste pe girta padta
Manzil mushkil hai bas namumkin nahi

Kise pata hona hai kya?
Jo bhi hua wo kyu hua?
Aage ka kya hai raasta?
Bas yun hi chalte jaana yahan
Meri tarah dekho zara
Khud se lo ab aankhein mila
Jaana wahan jahan hai khuda
Bas yun hi chalte jaana yahan

Mera jo Safar hai, kaisi ye dagar hai
Aasman se oonchi, sapno ki lehar hai
Mushkile bhi hai, manzil nayi hai
Ho jaye kuch bhi, Rukna nahi hai

Yaad aaye wo din jo gaya
Jaalon sa tha jo ultha hua
Na tha safar ka pata, fir bhi
Main chal pada
Dekho kahan main aa gaya
Bahein failaye hun main khada
Sapno ne hai pukara jahan
Wahin tak, hai safar mera



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link