Khwahish

Ek khwahish thi ki zindagi tere hi saath guzarey
Ab khwahish yehi ki tu mujhe kabhi fir yaad na aaye
Mai jaaga hu rehta, neend ka koi bhi patah nahi
Mai bas ek musafir, koi bhi mera thikana nahi

Is mehfil mei mera fir aana sahi
Door tu mujhse fir jana nahi
Door tu mujhse kyu? door hu khud se yun
Mohabbat ka ab yeh zamana nahi

Kaafi si batein hai kardi, in baaton mein kahin tum kho na jau
Gehra samandar hai mera dard, kahin tum dhoob na jao

Mai aya tha ek paigaam leke
Khat pe naam tha tera aur Patah bhi tera hi
Par khat yeh maine nai likha-
Yeh koi aur hai
Shayad mere se zada pasnd krne walo mein ab koi aur hai
Janey hu wala ab mai ghar se door
Yeh ghar ki zimedari jo sawar hai
Koi pooche mera haal tou bata dena
Taib badal gaya ab taib koi aur hai

Chord ke mai sara araam aur karar, jo dikhta bazaar mein
Ab poocho nai tum hai mere hain gham kitne
Mere jaise tou fir aur bhi hazaar hein

Soch mein mai baithu
Raat ke 3
Anxiety depression
Ab tou rozz ka scene

Hmm
Meri khwahish
Meri khwahish
Meri khwahish
Tu, tu meri khwahishon mei hai lekin
Meri
Khwahishon mei kyu?
Haan, khwahishon mei kyu?
Tu, tu meri khwahishon mei hai lakin meri
Kismat se door
Meri kismat se door



Credits
Writer(s): Mutaib Shamim Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link