Where Is She?

Kese dilaounga jana main muhabbat ka yaqeen tjhe
Raaten main jaagun, ati yaad teri ati neend nai mujhe
Tere sheher men aya main, musafir ki tarhan
Mjhe qaid krdiya gaya, kisi qaatil ki tarhan

Yaad men teri main khoya
Saari dunya ko main bhool jata hoon
Aye bhoolne wale
Bata mjhe tujhe yaad bhi ata hoon?
Tujhe kahoon bhi kiya?
Tera naam bhi yaad nai
Tujhe bewafa kehte huye bhi main aksar sharmata hoon

Murjha gaya, jab bahar ayi gulistan men
Ab to ye rehta hai khaali koi nahi rehta is makaan men
Betha pareshan main, darya kinaare is ghum e shaam men
Tujhe dhoondhte dhoondhte kho gaya main is jahaan men

Raat men taaqta rehta hoon chaand ko
Log poochte, wajah bata tu kyun aisa thera hai?
Ab tu hi bata de mujhe, kiya bataoun main unhe?
Shayad ye jaante nai ke ye chaand nahi tera chehra hai

Is sheher men kisse miloon
Mehfilen chor di saari
Pi pi ke thak gaya hoon
Wo bottlen tor di saari
Ab tera nahi main
Meri cheezen kisi aur ki saari
Jo qisse kahani aur baaten batayin
Tu ne kiya ghour ki saari?

Kyun tum mukar gaye?
Apne waadon se aur apni baat se
Chehra hai tera dimagh men
Tasweeren teri banaoun in haath se
Kal tujhse mila main
Tujhe dekha tha meri in aankhon ne paas se
Socha ke choo loon tujhe
Aur itne men aankhen khuli meri khwaab se

Tere jaane pe andhera
Tere aane se roshni
Tere jaane pe hota afsos bhi
Ab raha na mera koi dost bhi
Nashon se tang hoon main phir bhi krta hoon ke aye yaad na teri ab
Fake Promises, tu hai lapata kabhi bhi sath na theri bas

Faasle hum men itne kyun?
Bata de mujhe ke mera kiya dosh hai?
Main bolta nahi ab zyada
Parwah krte meri kyun tu kamosh hai?
Husun ki yaaden waabista hai tujhse
Main afsanay likh likh ke thak chuka
Ab ek haath men qalam hai mere
Aur doosre haath men rosh hai

Ujala pasand nai mujhe
To kroon main raaton se gilay
Ye dil jo mile the kis din
Mjhe yaad hai aankhon se milay
Ab jo hum bichar gaye
To shayad ke khwaaboun men milen
Jis tarhan sookhe huye phool
Kisi kitaabon men milen

Baaten nai bhula hoon teri main kala ki wajah se thora mash'hoor hai
Mera dil to saada hai tujhe hi chahta hai tujh men ghuroor hai
Furqat e yar men saare ye lamhoun ko ro ro ke basar krta hoon
Milenge kabhi na kabhi main rab se duaen aksar krta hoon



Credits
Writer(s): Ammaz Ali
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link