Ruba’iat (feat. Adiya Jilani)

Khayalo me dooba rahu
Kisise mai kya hi kahu
Yeh duniya toh pehle se faani hai
Kaise kahu kya mai dil ki sunu?

Kya mai seedha kahu? Yeh pyaar ki baatein
Gurbat ke aalam me kaati hai raatein
Zehen me aati hai usiki aankhein
Usike naam se chalti hai saansein

Halaatein yahi hai toh bhule hum kaise
Baaghon me phool bhi khiltey hai jaise
Jaise hi saamne aati hai mere toh
Aankhein bhar aati hai waise ke waise

Ha kaise na kaise sambhala tha khudko
Khudpe zara sa bhi tha na tawajjo
Zindagi pata ni kahape jaari thi
Aye mere maula ye badal barasdo

Taras toh mai khata tha halaaton par
Woh baatein meri kyu na jaane magar
Jaanta hu mai ki faasley kaafi par
Dil mera karta hai uski fikar

Yeh meri nazar se tum dekhke dekho
Chaahtein kitna hum chahte hai samjho
Haathon ko thaamke baithe ho sooraj ke
Dhalne se pehle tum kuch toh kaho toh

Yeh kismat ki fitrat ki badalti hai
Sabr rakha toh yeh duniya sawarti hai
Khafa hai fir bhi mai jaanta hu ki
Meri saari baaton ko woh samajhti hai

Saasein sisakti hai usiki yaadon me
Sukoon me dhundta usiki baahon me
Dua hai phir yun milenge kahi
Chalte phirtey yuhi shaamon ya raahon me

Khair ab chodo saari baaton ko
Jo dil me bas chuke kaaton ko
Kisi tarah usey jaane anjaane me
Kehdu mai dil ki woh meri saari baaton ko

Raaton ko mai bhi toh jaagta
Tujhko har dua me maangta
Dil mera ab hochuka saakhta
Tujhse jo hua na raabta

Duaao me ho mere tum
Khayalo me ho mere tum
Kya hi karu tumhari tareefen bhi khair ab
Chaand se bhi pyaare ho tum

Teri aakhein kitni khoob hai
Tere chehre pe jo noor hai
Haathon ko thaamke jo saath mere hote the tum
Yaadon me mere woh mashoor hai



Credits
Writer(s): Misam Ahmed
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link