Halka Halka Saroor

Maana Ki Janab Peeta Hoon
Bakhuda Behisab Peeta Hoon
Log Logon Ka Khoon Peete Hain
Main Toh Phir Bhi Sharab Peeta Hoon

Ye Jo Halka Halka Saroor Hai
Ye Teri Nazar Ka Kasoor Hai
Ke Sharab Peena Sikha Diya

Tere Pyaar Ne Teri Chah Ne
Teri Behki Behki Nigah Ne
Mujhe Ik Sharabi Bana Diya

Sharab Kaisi Khumar Kaisa
Ye Sab Tumhari Nawazishen Hain
Pilayi Hai Kis Nazar Se Tune
Ke Mujhko Apni Khabar Nahin Hai

Tere Pyaar Ne Teri Chah Ne
Teri Behki Behki Nigah Ne
Mujhe Ik Sharabi Bana Diya
Ki Sharab Peena Sikha Diya

Kau Hai Jisne May Nahin Pee Hai
Kaun Hhuti Kasam Uthata Hai
Maikade Se Bach Ke Nikalta Hai
Teri Ankhon Mein Doob Jata Hai

Sara Jahan Mast Jahan Ka Nizam Mast
Tum Mast Sheesha Mast Sab Mast Jaam Mast
Din Mast Raat Mast Sahar Mast Shaam Mast

Yun To Saaki Har Tarah Ki
Tere Maikhane Me Hai
De Wo Bhi Thodi Si
Jo In Ankhon Ke Paymaane Hai

Sab Samajhta Hoon Teri Ishwagari Ae Saaki
Kaam Karti Nazar Naam Hai Paimaane Ka

Tere Pyaar Ne Teri Chah Ne
Teri Behki Behki Nigah Ne
Mujhe Ik Sharabi Bana Diya

Ye Jo Halka Halka Saroor Hai
Ye Teri Nazar Ka Kasoor Hai
Ki Sharab Peena Sikha Diya

Tera Pyaar Hai Meri Zindagi

Na Namaz Aati Hai Mujhko Na Wuzu Aata Hai
Sajda Kar Leta Hoon Jab Samne Tu Aata Hai

Tera Pyaar Hai Meri Zindagi
Teri yaad hai meri bandagi
Jo Teri Khushi Woh Meri Khushi
Ye Mere Junoon Ka Hai Mojza
Jahan Apne Sarr Ko Jhuka Diya
Wahan Maine Kaaba Bana Diya

Ye Jo Halka Halka Saroor Hai
Ye Teri Nazar Ka Kasoor Hai
Ki Sharab Peena Sikha Diya

Mere Baad Kisko Sataoge
Mujhe Kis Tarah Se Mitaoge

Maine Unke Samne Awwal Toh Khanjar Rakh Diya
Phir Kaleja Rakh Diya
Dil Rakh Diya Sarr Rakh Diya
Aur Arz Kiyaaa

Mere Baad Kisko Sataoge
Mujhe Kis Tarah Se Mitaoge
Kahan Ja Ke Teer Chalaoge
Meri Dosti Ki Balayen Lo
Mujhe Haath Utha Kar Duayen Do
Tumhen Ek Qaatil Bana Diya



Credits
Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan, Mujahid Khan, Mohd Kausar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link