Kashmir

Urdu ke jaisa yeh ishq mera
Na-samajh, tu samjhega kaise?
Likhti main rehti hoon din-raat tujhko
Pagal, tu samjhega kaise?
Itna hai shor yahan iss sheher mein
Ishq mera sambhalega kaise?

Kashmir jaisi jagah le chalo na
Barfon pe sikhaungi pyaar tujhe
Jheelon pe aise udenge saath donon
Ishq padhaungi, yaar, tujhe

Thandi si raatein, pedon ki khushboo
Jugnu bhi karte hain baatein wahan
Kehte hain, jannat ki basti hai wahan pe
Saare farishte rehte hain jahan
Baadal bhi rehte hain aise wahan pe
Sach mein woh neele hon jaise

Uss neele rang se mujhe bhi rang do na
Aasmaan dikhaungi, yaar, tujhe
Aise udenge milke saath donon
Jannatein ghumaungi, yaar, tujhe

Le toh chaloon main tujhko wahan pe
Lekin wahan pe sardi badi hai
Kab main lagaunga tujhko gale
Khuda ki qasam, mujhe jaldi badi hai

Odhungi aise main tujhko, piya
Sardi mujhko satayegi kaise?
Tujhko lagaungi aise gale
Koi gum ho jaata hai jaise

Kis baat ki der phir tu lagaye hai
Khud ko ab rokoon main kaise?

Uss neele paani ka jo saaf jharna hai
Usse pilaun, aa, pyaar tujhe
Jheelein, yeh nadiyan, yeh barfon ke teele
Laa ke sab de doon main, yaar, tujhe



Credits
Writer(s): Bhardwaj Manan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link