Love Note

Jab jab tu jaata hai
Dil thehar jaata hai
Samajh kuch na aata hai
Waqt ruk saa jata hai

Kiya ye wohi wajah hai?
Kitabon mein jo parha hai
Dil dhadak to raha hai
Par lagta mera na raha hai

Kya ye wohi wajah hai?
Kitabon mein jo parha hai
Dil dhadak to raha hai
Par lagta mera na raha hai

Arzoo jo teri hone lagi hai
Aqal ku meri khone lagi hai?
Waise to dekhne mein main bhi haseen hoon
Par tere jaisa pyara koi lagta nahi hai

Ye mera pagalon ki tarah tere peechhe padhna
Khud ka na sochna aur teri hi bas parwa karna
Tu mujhko hai pasand, ye tujhko kyun nazar nahi aata?
Ya tu samajhta sab hai mujhko, bas nahi batata

Ziddi nahi hoon par zid pe aari hoon
Haye! Mujhe kitna saara lagta hai tu
Dil ke loot jaane ka izhaar bhi zaroori hai
Kehne ko hai tamasha, pyaar bhi zaroori hai

Mujhe to ishq teri rooh se ho gaya hai sun
Tere sitam pe ab bardasht bhi zaroori hai
Saath nibhaaun ge chhodun ge na raahon mein tanha
Badlega dil na mera tu bhi thoda saath dena

Tumhe kabhi main pura
Kabhi adhoora sa likhoon
Main raaton mein baith ke
Tumhe savera sa likhoon

Main jab bhi likhoon
Kabhi rukun, kabhi likhoon
Tujhe mera mujhe tera
Aur bas tujhe mera likhein

Shayari ho tum meri
Tum he qalam ho
Tum alfaaz tum he sanam ho
Shayari ho tum meri

Tum he qalam ho
Tum alfaaz tum he sanam ho
Mohabbat sikhati hoon tujhe
Zara paas beth

Kuch ghazalain sunaun tujhe
Zara paas beth
Pasand hai tujhe pizza
Pehle kyun nahi bataya?

Haath se khilati hoon
Tujhe zara paas beth
Bas ye batana hai
Tujhko hi chahna hai

Khat likhti jaa rahi hoon
Qalam bahaana hai
Bas ye batana hai
Tujhko hi chahna hai

Khat likhti jaa rahi hoon
Qalam bahaana hai
Cheen loon kya tujhe is jahan se?
Joru loon naam tera apne naam se?

Chhod doon kya tujhe tere haal pe?
Tu bata teri marzi kya hai?

Jee loon main chal tere bina yun sahi loon main
Na guzre gi dubara teri in galiyon se
Jo thaam le ga haath mera to hum jaa uthenge
Tu bata de teri marzi kya hai?

Jaanta hai jahan
Tabsare kar raha
Tu inhe de bataa
Main tera ho gaya

Manzar qaraar har yaad aur gham
Mohabbat ke safar ki manzil
Khwahish dunya aur afsaane
Adat raahat sab hai tujhse

Tanha lamhon ki ho raahat
Dard ki mere ho dua tum
Zindagi ka meri haseen tohfa
Khas se zyada khas ho tum

Jaan bhi le loon tujhko, hai maafi
Tere bina har cheez izaafi
Jaan bhi le loon tujhko, hai maafi
Tu hi hai kaafi



Credits
Writer(s): Aash Rohan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link