Laapata

Badalte rung, mere aasman ke jaisay
Girtay hum, aaftab se
Bewaja ke shor mai, khamosh hoon, bebas nahi
Hoon gumm kabhi manzil pe hee
Har roz kuch, naya banoon
Aajiz magar, tum se nahi, tum se nahi
Aisay kyun
Laapata
Hai dil ki samajh, na khud ki khabar
Bas daur aye
Dhoondoon faaslon ke jawaaz
Hai dil ki samajh na khud ki khabar
Bas daur aye
Jis se sukoon, uss se hee duur
Mere aas paas, mera aasra, mera aasman
Sab hai siya, sab hai siya
Likhoon kahan, kahoon tou kya
Laroon zamanay se
Badal sakay, nikal sakay na
Jis se sukoon, uss se hee duur
Mere aas paas, mera aasra, mera aasman
Sab hai siya, sab hai siya
Aisay kyun
Laapata
Jaisay dil ki saza
Aisay kyun
Laapata
Hai dil ki samajh, na khud ki khabar, bas daur aye
Hai dil ki samajh, na khud ki khabar bas daur aye
Bas daur aye, bas daur aye



Credits
Writer(s): Aqdas Asif
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link